gadhe ne bajai bansuri
hāthoñ meñ dastāne pahne
gale meñ bush-shirt Daalī
naak nathune chauḌe kar ke
gad.he ne dum akḌā.ī
chalā maTak ke Thumak Thumak
ḳhud hī gaatā hañstā
dekh ke ik lakḌī kā TukḌā
gad.he ne jhuk ke pakḌā
muñh se jo hī lagā.ī us ne
bāñsurī bolī ''peñ-peñ''
sun ke ye āvāz gilahrī
ḳhushī se bolī ''cheñ-cheñ''
ab to jañgal jañgal phirte
gad.he-miyāñ itrāte
hañs hañs ke ḳhargosh-miyāñ ke
peT meñ bal paḌ jaate
ro.ab jamātā phirtā sab par
dil bahlātā apnā
achchhā lagtā bī-chyūñTī ko
gad.he-miyāñ kā hañsnā
hathon mein dastane pahne
gale mein bush-shirt Dali
nak nathune chauDe kar ke
gadhe ne dum akDai
chala maTak ke Thumak Thumak
KHud hi gata hansta
dekh ke ek lakDi ka TukDa
gadhe ne jhuk ke pakDa
munh se jo hi lagai us ne
bansuri boli pen-pen
sun ke ye aawaz gilahri
KHushi se boli chen-chen
ab to jangal jangal phirte
gadhe-miyan itraate
hans hans ke KHargosh-miyan ke
peT mein bal paD jate
roab jamata phirta sab par
dil bahlata apna
achchha lagta bi-chyunTi ko
gadhe-miyan ka hansna
- Book : Aankh Mecholi (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.