ghair-mutawaqqa mulaqat
Interesting Fact
1860
barsoñ ba.ad jab us ko dekhā phuul sā chehra badal chukā thā
peshānī par fikr kī aayat āñkheñ ab sanjīda thiiñ
hoñT kañval ab bhī vaise par shādābī kuchh kam kam thī
pakke phaloñ kā bojh uThā.e jism tanā bal khātā thā
rañgīñ pairāhan meñ ab bhī
ḳhvāb kī sūrat lagtī thī
jaane kaisī kaisī hikāyat dekh use yaad aatī thī
pahlī daf.a jab saath the baiThe class ke andar ham donoñ
us ke jism ke lams ne mujh ko
pahle to bulāyā thā phir pakkā dost banāyā thā
shaam talak mele meñ kaise phirte rahe the idhar-udhar
raat ga.e mammy ne us ko khoTī-kharī sunā.ī thī
rail ke andar baiTh ke kaise sharmā.e ghabrā.e the
baġhair ticket ke pahuñch ke ghar par kitnī mauj manā.ī thī
dopahar ko Dhābe meñ
chaa.e aur cigarette ke saath
thoḌe se rūmānī ho kar
kyā kyā bāteñ karte the
ghar ke bāhar lawn bhī hogā geñdā aur gul-mohar ke phuul
kharī khaaT nahīñ rakheñge bed baḌe mahñge hoñge
suiT mirā aisā hogā terī saarī resham kī
beTe kā jo naam rakheñge hindū na muslim hogā
bil chukāte vaqt meñ aksar paise kam paḌ jaate the
dekh ke daddū hañstā thā phir
jaane kyuuñ ḳhush hotā thā
koī baat nahīñ hai beTe
kal jab aao de jaanā
jaate hue jab seTh ne us kī kamar meñ baazū pahnāyā
dekh ke us kī āñkheñ mujh ko chhalak paḌī thiiñ chup ke se
soch rahā thā palaT ke ab vo
pūchhegī tum kaise ho
ye hai aap kī coffē sāhab aur bhī kuchh chahiye hogā
barson baad jab us ko dekha phul sa chehra badal chuka tha
peshani par fikr ki aayat aankhen ab sanjida thin
honT kanwal ab bhi waise par shadabi kuchh kam kam thi
pakke phalon ka bojh uThae jism tana bal khata tha
rangin pairahan mein ab bhi
KHwab ki surat lagti thi
jaane kaisi kaisi hikayat dekh use yaad aati thi
pahli dafa jab sath the baiThe class ke andar hum donon
us ke jism ke lams ne mujh ko
pahle to bulaya tha phir pakka dost banaya tha
sham talak mele mein kaise phirte rahe the idhar-udhar
raat gae mammy ne us ko khoTi-khari sunai thi
rail ke andar baiTh ke kaise sharmae ghabrae the
baghair ticket ke pahunch ke ghar par kitni mauj manai thi
dopahar ko Dhabe mein
chae aur cigarette ke sath
thoDe se rumani ho kar
kya kya baaten karte the
ghar ke bahar lawn bhi hoga genda aur gul-mohar ke phul
khari khaT nahin rakhenge bed baDe mahnge honge
suiT mera aisa hoga teri sari resham ki
beTe ka jo nam rakhenge hindu na muslim hoga
bil chukate waqt mein aksar paise kam paD jate the
dekh ke daddu hansta tha phir
jaane kyun KHush hota tha
koi baat nahin hai beTe
kal jab aao de jaana
jate hue jab seTh ne us ki kamar mein bazu pahnaya
dekh ke us ki aankhen mujh ko chhalak paDi thin chup ke se
soch raha tha palaT ke ab wo
puchhegi tum kaise ho
ye hai aap ki coffee sahab aur bhi kuchh chahiye hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.