ghalati
uupar se bah kar aane vaalī lahreñ
mere markaz ko bhīñch rahī haiñ
gulābī rang jal kar siyāh ho rahā hai
aañkh ke ā.īne meñ
ummīd kī jhalak hamesha ubhartī rahtī hai
vo vaqt aa chukā
ās-pās chalte phirte vajūd
tāqat-var lahroñ meñ Dhal ga.e haiñ
zimmedārī dī jaatī hai
ġhair-zimme-dārī se
aur kuchh log qahqahe lagāne par
ḳhud ko māmūr karte haiñ
apne qahqahoñ kī lahroñ se
dīvāreñ banā kar
lahreñ yalġhār kartī haiñ
karoḌoñ chambers meñ
jahāñ Tāñgeñ aur baazū phailā.e
chhoTī chhoTī ġhalatiyāñ karne vaale
sāñsoñ kī giraft ko
saḳht hotā dekhte haiñ
upar se bah kar aane wali lahren
mere markaz ko bhinch rahi hain
gulabi rang jal kar siyah ho raha hai
aankh ke aaine mein
ummid ki jhalak hamesha ubharti rahti hai
wo waqt aa chuka
aas-pas chalte phirte wajud
taqat-war lahron mein Dhal gae hain
zimmedari di jati hai
ghair-zimme-dari se
aur kuchh log qahqahe lagane par
KHud ko mamur karte hain
apne qahqahon ki lahron se
diwaren bana kar
lahren yalghaar karti hain
karoDon chambers mein
jahan Tangen aur bazu phailae
chhoTi chhoTi ghalatiyan karne wale
sanson ki giraft ko
saKHt hota dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.