gham
ġham ko ik sauġhāt samajh kar
gale lagā.eñ
ziist kī andhī rāhguzar par
chalte jaa.eñ
jab ke chāroñ or bhikārī
sab hī bhikārī
sukh kī bhikshā maañg rahe haiñ
sukh kī chhāyā kis ne dekhī
kis ne
ḳhushbū ke naġhmoñ ko chūmā
sukh jīvan meñ jhūTā sapnā
paanī ke siine kā chhālā
ġham muḳhlis hai ġham sachchā.ī
ġham kī thaah na dil ne paa.ī
ġham ashkoñ ke diip jalā.e
raah dikhā.e
ġham se 'nusrat' Darnā kyā
ġham ko ik sauġhāt samajh kar
aao gale lagā.eñ
ziist kī andhī rāhguzar par
chalte jaa.eñ
gham ko ek saughat samajh kar
gale lagaen
zist ki andhi rahguzar par
chalte jaen
jab ke chaaron or bhikari
sab hi bhikari
sukh ki bhiksha mang rahe hain
sukh ki chhaya kis ne dekhi
kis ne
KHushbu ke naghmon ko chuma
sukh jiwan mein jhuTa sapna
pani ke sine ka chhaala
gham muKHlis hai gham sachchai
gham ki thah na dil ne pai
gham ashkon ke dip jalae
rah dikhae
gham se 'nusrat' Darna kya
gham ko ek saughat samajh kar
aao gale lagaen
zist ki andhi rahguzar par
chalte jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.