gham ka aahang hai
ġham kā āhañg hai
is shaam kī tanhā.ī meñ
dām-e-nairañg hai
āġhāz kā anjām liye
koī naġhma koī ḳhushbū nahīñ
purvā.ī meñ
dil ke ā.īne meñ
aur ruuh kī gahrā.ī meñ
ek hī aks ka.ī naam liye
raqs meñ hai
partav-e-husn-e-dil-ārām liye
phir tire dhyān meñ baiThā huuñ
tahī jaam liye
hasrat-e-sa.ī-talab
be-sar-o-sāmān bhī hai
saḳht haijān bhī hai
jalte bujhte se diye
ziist kī pahnā.ī meñ
vaqt kī jhiil meñ
yādoñ ke kañval
duur tak dhund ke malbūs meñ
mānūs nuqūsh
chāñdnī raat pavan
tāj-mahal
talḳh maazī kī hikāyāt haiñ
aur haal ke afsāne bhī
muntashir ḳhvāb haiñ
vīrān sanam-ḳhāne bhī
haañ magar yaad
tere vasl kā paimān bhī hai
ek muddat se
tirī diid kā armān bhī hai!!
gham ka aahang hai
is sham ki tanhai mein
dam-e-nairang hai
aaghaz ka anjam liye
koi naghma koi KHushbu nahin
purwai mein
dil ke aaine mein
aur ruh ki gahrai mein
ek hi aks kai nam liye
raqs mein hai
partaw-e-husn-e-dil-aram liye
phir tere dhyan mein baiTha hun
tahi jam liye
hasrat-e-sai-talab
be-sar-o-saman bhi hai
saKHt haijaan bhi hai
jalte bujhte se diye
zist ki pahnai mein
waqt ki jhil mein
yaadon ke kanwal
dur tak dhund ke malbus mein
manus nuqush
chandni raat pawan
taj-mahal
talKH mazi ki hikayat hain
aur haal ke afsane bhi
muntashir KHwab hain
viran sanam-KHane bhi
han magar yaad
tere wasl ka paiman bhi hai
ek muddat se
teri did ka arman bhi hai!!
- Book : ajnabii musamo.n ki khushboo (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.