gham ka baadal
ġham kā bādal gar baras jaa.e to ubhre āftāb
ġham-samundar
motiyoñ kī kaan hai
yā rag-e-sañg-e-girāñ-māya kī ik pahchān hai
ġham vo ā.īna ki jis meñ aks-e-zulf-e-ambarīñ
sūrat-e-arz-o-samā
jalva-numā
ḳhvāb-e-zār-e-zindagī ke vāste ġham kā partav
partav-e-ḳhurshīd hai
ġham kā bādal gar baras jaa.e to ubhre āftāb
gham ka baadal gar baras jae to ubhre aaftab
gham-samundar
motiyon ki kan hai
ya rag-e-sang-e-giran-maya ki ek pahchan hai
gham wo aaina ki jis mein aks-e-zulf-e-ambarin
surat-e-arz-o-sama
jalwa-numa
KHwab-e-zar-e-zindagi ke waste gham ka partaw
partaw-e-KHurshid hai
gham ka baadal gar baras jae to ubhre aaftab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.