gandi laDki
gandī laḌkī parī ho yā vo huur
karte haiñ sab log us ko duur duur
muñh lagā kar baat to karte nahīñ
gandī ko pyaar karte haiñ kahīñ
māñjh kar manjan se daañt apne na dho.e
zid kare har baat par har lahza ro.e
reñt apnī āstīn se poch le
baal sar ke aap apne noch le
aaj pahne kal kare mailā libās
us ko aane de koī kyoñ apne paas
aisī laḌkī kī bhalā kyā aabrū
chepaḌ āñkhoñ meñ ho jis ke muñh meñ bū
kañghī bāloñ meñ na sar meñ tel hai
bad-tamīzī rāt-din kā khel hai
dhuup meñ khele na aa.e chhāñv meñ
sar pe Topī hai na juutā paañv meñ
achchhī ḳhāsī apne paḌhne kī kitāb
jā-ba-jā kar de lakīroñ se ḳharāb
raushnā.ī ke haiñ dhabbe jā-ba-jā
kurte kā hai āgā-pīchhā ek sā
khānā khā kar poch le dāman se haath
kapḌe bhar jaa.eñ kabhī sālan se haath
aisī laḌkī ko karegā kaun pyaar
paas jis ke jaa.e us ko aa.e aar
gandi laDki pari ho ya wo hur
karte hain sab log us ko dur dur
munh laga kar baat to karte nahin
gandi ko pyar karte hain kahin
manjh kar manjan se dant apne na dhoe
zid kare har baat par har lahza roe
rent apni aastin se poch le
baal sar ke aap apne noch le
aaj pahne kal kare maila libas
us ko aane de koi kyon apne pas
aisi laDki ki bhala kya aabru
chepaD aankhon mein ho jis ke munh mein bu
kanghi baalon mein na sar mein tel hai
bad-tamizi raat-din ka khel hai
dhup mein khele na aae chhanw mein
sar pe Topi hai na juta panw mein
achchhi KHasi apne paDhne ki kitab
ja-ba-ja kar de lakiron se KHarab
raushnai ke hain dhabbe ja-ba-ja
kurte ka hai aaga-pichha ek sa
khana kha kar poch le daman se hath
kapDe bhar jaen kabhi salan se hath
aisi laDki ko karega kaun pyar
pas jis ke jae us ko aae aar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.