gang-o-jaman ki KHushbu
sub.h-dam aatī hai ai hind tire āñchal se
hamd kī na.at kī puujā kī bhajan kī ḳhushbū
dhaḌkanoñ ne yahāñ chheḌī hai mohabbat kī ġhazal
hai fazāoñ meñ uḳhuvvat ke saman kī ḳhushbū
tere dāman meñ ajantā-o-hasīñ-tāj-mahal
tere khetoñ meñ hai dahqāñ ke jatan kī ḳhushbū
tere jharnoñ se ubharte haiñ tarāne dilkash
ruuh sarshār kare dasht-o-daman kī ḳhushbū
'mīr'-o-'ġhālib' hoñ ki 'iqbāl' yā 'chakbast'-o-'firāq'
terī miTTī meñ basī in ke suḳhan kī ḳhushbū
rang kī nasl kī tahzīb kī hai qaus-e-quzah
hai kahāñ dahr meñ ye gang-o-jaman kī ḳhushbū
mujh ko ġhurbat meñ bhī ehsās-e-vatan hotā hai
jab bhī laatī hai sabā mere vatan kī ḳhushbū
terī miTTī pe tasadduq haiñ dil-o-jān sabhī
bhuul sakte nahīñ ham tere manan kī ḳhushbū
tere hoñToñ pe tabassum kī dhanak khultī rahe
sadā ābād rahe tere chaman kī ḳhushbū
subh-dam aati hai ai hind tere aanchal se
hamd ki nat ki puja ki bhajan ki KHushbu
dhaDkanon ne yahan chheDi hai mohabbat ki ghazal
hai fazaon mein uKHuwwat ke saman ki KHushbu
tere daman mein ajanta-o-hasin-taj-mahal
tere kheton mein hai dahqan ke jatan ki KHushbu
tere jharnon se ubharte hain tarane dilkash
ruh sarshaar kare dasht-o-daman ki KHushbu
'mir'-o-'ghaalib' hon ki 'iqbaal' ya 'chakbast'-o-'firaq'
teri miTTi mein basi in ke suKHan ki KHushbu
rang ki nasl ki tahzib ki hai qaus-e-quzah
hai kahan dahr mein ye gang-o-jaman ki KHushbu
mujh ko ghurbat mein bhi ehsas-e-watan hota hai
jab bhi lati hai saba mere watan ki KHushbu
teri miTTi pe tasadduq hain dil-o-jaan sabhi
bhul sakte nahin hum tere manan ki KHushbu
tere honTon pe tabassum ki dhanak khulti rahe
sada aabaad rahe tere chaman ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.