gang-o-jaman
kunj-e-qafas meñ jalva-e-sahn-e-chaman kahāñ
bulbul to DhūñDhtī hai gul-o-yāsman kahāñ
gum ho ga.ī hai aa ke jahāñ rāh-e-kū-e-dost
laayā bhī to mujhe mirā dīvāna-pan kahāñ
sarmāya-e-nashāt sahī āmad-e-bahār
lekin use nasīb tirā bāñkpan kahāñ
ai vo mire shabāb kī rāteñ guzar ga.iiñ
ab vo mirī nashāt bharī anjuman kahāñ
'shātir' chalo basā.eñ dayār-e-habīb ko
is kāmiTī meñ jalva-e-gañg-o-jaman kahāñ
kunj-e-qafas mein jalwa-e-sahn-e-chaman kahan
bulbul to DhunDhti hai gul-o-yasman kahan
gum ho gai hai aa ke jahan rah-e-ku-e-dost
laya bhi to mujhe mera diwana-pan kahan
sarmaya-e-nashat sahi aamad-e-bahaar
lekin use nasib tera bankpan kahan
ai wo mere shabab ki raaten guzar gain
ab wo meri nashat bhari anjuman kahan
'shatir' chalo basaen dayar-e-habib ko
is kaamiTi mein jalwa-e-gang-o-jaman kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.