ai bahaar-e-gang ai bhaarat-nawaz
teri hasti par hai ek aalam ko naz
tere aaine mein hai aks-e-falak
qatre qatre mein masarrat ki jhalak
tere sine mein hain gauhar-ha-e-raaz
rag pani ka hai kitna dil-e-gudaz
rag ke parde mein hai shan-e-hijab
teri maujon se jhalakta hai shabab
tairte hain phul yun sahil ke pas
taza dagh-e-dil hon goya dil ke pas
tujh pe suraj ki shuaen hain nisar
husn-o-KHubi ka muraqqa hai bahaar
koh-o-sahra shad hain sairab hain
lahlahati khetiyan shadab hain
tu rawan raaton ke sannaTe mein hai
tazgi kaisi tere naghme mein hai
naznin karte hain teri aarzu
hai pari-zadon ka jamghaT aur tu
KHush-KHaramon ki hai kab ye chaal-Dhaal
teri peshani se zahir hai jalal
ai faza-e-gang a nazuk-ada
ghairat-e-firdaus hai teri faza
tu hai ahl-e-hind ke dam ki sharik
tu KHushi mein sath hai gham ki sharik