ganga
ai shāndār gangā
ai pur-bahār gangā
gangotarī se niklī kaisī uchhal uchhal kar
aur parbatoñ se utrī pahlū badal badal kar
patthar bahā.e tū ne jo rāste meñ aa.e
kuudī bulandiyoñ se jalve ajab dikhā.e
ik raah meñ banā.e sau ābshār gangā
ai shāndār gangā
ai pur-bahār gangā
vo apnī rau meñ bahnā ūñche suroñ meñ gaanā
chiḌiyoñ kā mast rahnā sun kar tirā tarānā
aur vo jo sun ke naġhme dete the daad tujh ko
lete the godiyoñ meñ jo shād-shād tujh ko
karte haiñ yaad tujh ko vo kohsār gangā
ai shāndār gangā
ai pur-bahār gangā
jangal pahāḌ chhoḌe maidāñ basā.e tū ne
ab aur hī tarah ke naqshe jamā.e tū ne
gangā bahā.ī aisī khetoñ ko bhar diyā hai
paudoñ ko jaan dī hai phūloñ ko zar diyā hai
sairāb kar diyā hai har lāla-zār gangā
ai shāndār gangā
ai pur-bahār gangā
haiñ shahr pyāre pyāre aksar tire kināre
tīrath tire kināre mandir tire kināre
jal hai tirā pavittar miTTī bhī terī pyārī
pākīzgī kī devī pākīza hai tū saarī
tujh ko tire pujārī karte haiñ pyaar gangā
ai shāndār gangā
ai pur-bahār gangā
mash.hūr ho ga.ī tū hindostāñ kī maatā
tujh meñ har ek hindū ashnān ko hai aatā
hindostānīyoñ kī hamdam hai tū purānī
duniyā meñ koī dariyā terā nahīñ hai saanī
hai terā saaf paanī amrit kī dhaar gangā
ai shāndār gangā
ai pur-bahār gangā
rātoñ ko chāñd taare lahroñ meñ jhūmte haiñ
phūloñ bhare kināre pairoñ ko chūmte haiñ
sūraj bikhertā hai kirnoñ ke haar tujh par
aur kartī haiñ havā.eñ naqsh-o-nigār tujh par
sab haiñ nisār tujh par sab haiñ nisār gangā
ai shāndār gangā
ai pur-bahār gangā
ai shandar ganga
ai pur-bahaar ganga
gangotari se nikli kaisi uchhal uchhal kar
aur parbaton se utri pahlu badal badal kar
patthar bahae tu ne jo raste mein aae
kudi bulandiyon se jalwe ajab dikhae
ek rah mein banae sau aabshaar ganga
ai shandar ganga
ai pur-bahaar ganga
wo apni rau mein bahna unche suron mein gana
chiDiyon ka mast rahna sun kar tera tarana
aur wo jo sun ke naghme dete the dad tujh ko
lete the godiyon mein jo shad-shad tujh ko
karte hain yaad tujh ko wo kohsar ganga
ai shandar ganga
ai pur-bahaar ganga
jangal pahaD chhoDe maidan basae tu ne
ab aur hi tarah ke naqshe jamae tu ne
ganga bahai aisi kheton ko bhar diya hai
paudon ko jaan di hai phulon ko zar diya hai
sairab kar diya hai har lala-zar ganga
ai shandar ganga
ai pur-bahaar ganga
hain shahr pyare pyare aksar tere kinare
tirath tere kinare mandir tere kinare
jal hai tera pawittar miTTi bhi teri pyari
pakizgi ki dewi pakiza hai tu sari
tujh ko tere pujari karte hain pyar ganga
ai shandar ganga
ai pur-bahaar ganga
mashhur ho gai tu hindostan ki mata
tujh mein har ek hindu ashnan ko hai aata
hindostaniyon ki hamdam hai tu purani
duniya mein koi dariya tera nahin hai sani
hai tera saf pani amrit ki dhaar ganga
ai shandar ganga
ai pur-bahaar ganga
raaton ko chand tare lahron mein jhumte hain
phulon bhare kinare pairon ko chumte hain
suraj bikherta hai kirnon ke haar tujh par
aur karti hain hawaen naqsh-o-nigar tujh par
sab hain nisar tujh par sab hain nisar ganga
ai shandar ganga
ai pur-bahaar ganga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.