ganga ke kinare
tā-hadd-e-nazar jab nazroñ meñ jannat ke nazāre hote the
bātoñ meñ kinā.e hote the nazroñ meñ ishāre hote the
aise meñ jo aañsū girte the girte hī sitāre hote the
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
vo raat kā sundar sannāTā chup sādhe hue jaise manzil
gañgā kī dhaḌaktī chhātī par armāñ ke diye jhilmil jhilmil
paanī meñ laraztī rahtī thī chāñd aur sitāroñ kī mahfil
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
har mauj-e-ravāñ par lahrātī hañstī sī rupahlī ik dhārī
jaise kisī chanchal ke tan par lahrā.e banaras kī saarī
gañgā kī adā pyārī pyārī kuchh aur bhī hotī thī pyārī
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
ashnān nigāheñ kartī thiiñ parkāsh kī chaḌhtī naddī meñ
ākāsh ke ubhre taare the Duube hue kaif-o-mastī meñ
baiThe nazar aate the ham tum chandā kī rupahlī kashtī meñ
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
mahtāb kī kirneñ jhuk jhuk kar kuchh jaal rupahlī buntī thiiñ
gañgā kī qasam maujeñ aa kar qadmoñ pe sar apnā dhuntī thiiñ
sab prem kathā.eñ kahtī thiiñ sab prem kathā.eñ suntī thiiñ
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
yuuñ raag sā chheḌe rahtā thā bahtā huā paanī kā dhārā
jaise koī jogī raat ga.e gaatā ho bajā kar ik taarā
is jhūmtī gaatī gañgā kā hotā thā samāñ pyārā pyārā
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
armānoñ kī kaliyāñ khiltī thiiñ āshāoñ ke dīpak jalte the
badmast havāoñ ke jhoñke chalte hue pañkhā jhalte the
raat aur hasīñ ho jaatī thī is husn se ham tum chalte the
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
gañgā ke kināre aate the āzād tabī.at hotī thī
bebāk se ham tum rahte the bebāk mohabbat hotī thī
har shai pe hukūmat karte the har shai pe hukūmat hotī thī
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
jaise ki 'nazīr' un rātoñ par qudrat bhī karam farmātī thī
bedār ḳhudā kar detā thā āñkhoñ meñ agar niiñd aatī thī
mandir meñ gajar baj jaatā thā masjid meñ azaañ ho jaatī thī
jab chāñdnī rātoñ meñ ham tum gañgā ke kināre hote the
ta-hadd-e-nazar jab nazron mein jannat ke nazare hote the
baaton mein kinae hote the nazron mein ishaare hote the
aise mein jo aansu girte the girte hi sitare hote the
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
wo raat ka sundar sannaTa chup sadhe hue jaise manzil
ganga ki dhaDakti chhati par arman ke diye jhilmil jhilmil
pani mein larazti rahti thi chand aur sitaron ki mahfil
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
har mauj-e-rawan par lahraati hansti si rupahli ek dhaari
jaise kisi chanchal ke tan par lahrae banaras ki sari
ganga ki ada pyari pyari kuchh aur bhi hoti thi pyari
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
ashnan nigahen karti thin parkash ki chaDhti naddi mein
aakash ke ubhre tare the Dube hue kaif-o-masti mein
baiThe nazar aate the hum tum chanda ki rupahli kashti mein
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
mahtab ki kirnen jhuk jhuk kar kuchh jal rupahli bunti thin
ganga ki qasam maujen aa kar qadmon pe sar apna dhunti thin
sab prem kathaen kahti thin sab prem kathaen sunti thin
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
yun rag sa chheDe rahta tha bahta hua pani ka dhaara
jaise koi jogi raat gae gata ho baja kar ek tara
is jhumti gati ganga ka hota tha saman pyara pyara
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
armanon ki kaliyan khilti thin aashaon ke dipak jalte the
badmast hawaon ke jhonke chalte hue pankha jhalte the
raat aur hasin ho jati thi is husn se hum tum chalte the
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
ganga ke kinare aate the aazad tabiat hoti thi
bebak se hum tum rahte the bebak mohabbat hoti thi
har shai pe hukumat karte the har shai pe hukumat hoti thi
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
jaise ki 'nazir' un raaton par qudrat bhi karam farmati thi
bedar KHuda kar deta tha aankhon mein agar nind aati thi
mandir mein gajar baj jata tha masjid mein azan ho jati thi
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 60)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.