ganga kinare
ḳhulūs ke aise diye jalā.eñ
bujhā sake na jin ko muḳhālif havā.eñ
sadā gūñje mandir kī ghanTiyāñ
barābar azāneñ bhī aa.eñ
saarī nafrateñ bah jaa.eñ
gangā ghaaT par agar man bhī nahlā.eñ
nafrat kudūrat se dil saaf ho to
hāthoñ ke saath dil bhī milā.eñ
gavāh banā ke gangā kī lahroñ ko
sachchī chāhat kā vā'da kareñ
aur phir vo vā'de nibhā.eñ
justujū hai ab mohabbat kī ulfat kī sab ko
dil kī bāteñ sab ko batā.eñ
KHulus ke aise diye jalaen
bujha sake na jin ko muKHalif hawaen
sada gunje mandir ki ghanTiyan
barabar azanen bhi aaen
sari nafraten bah jaen
ganga ghaT par agar man bhi nahlaen
nafrat kudurat se dil saf ho to
hathon ke sath dil bhi milaen
gawah bana ke ganga ki lahron ko
sachchi chahat ka wa'da karen
aur phir wo wa'de nibhaen
justuju hai ab mohabbat ki ulfat ki sab ko
dil ki baaten sab ko bataen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.