gap-shap
billī ko samjhāne aa.e
chūhe ka.ī hazār
billī ne ik baat na maanī
ro.e zār-o-zār
suno gap-shap suno gap-shap
naav meñ naddī Duub chalī
hāthī ko chyūñTī ne piiTā
meñDak shor machā.e
uuñT ne aa kar Dhol bajāyā
machhlī gaanā gaa.e
suno gap-shap suno gap-shap
naav meñ naddī Duub chalī
aadhī raat ko chāñd aur sūraj
bādal ke ghar aa.e
bijlī ne darvāza kholā
donoñ hī ghabrā.e
suno gap-shap suno gap-shap
naav meñ naddī Duub chalī
sher aur bakrī mil kar baiThe
ghoḌā ghaas na khaa.e
tīnoñ apnī zid ke pakke
kaun kise samjhā.e
suno gap-shap suno gap-shap
naav meñ naddī Duub chalī
billi ko samjhane aae
chuhe kai hazar
billi ne ek baat na mani
roe zar-o-zar
suno gap-shap suno gap-shap
naw mein naddi Dub chali
hathi ko chyunTi ne piTa
meinDak shor machae
unT ne aa kar Dhol bajaya
machhli gana gae
suno gap-shap suno gap-shap
naw mein naddi Dub chali
aadhi raat ko chand aur suraj
baadal ke ghar aae
bijli ne darwaza khola
donon hi ghabrae
suno gap-shap suno gap-shap
naw mein naddi Dub chali
sher aur bakri mil kar baiThe
ghoDa ghas na khae
tinon apni zid ke pakke
kaun kise samjhae
suno gap-shap suno gap-shap
naw mein naddi Dub chali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.