gharib kisan
ai nature ke raaj dulāre
ai fitrat kī aañkh ke taare
mehnat kā phal paane vaale
kāñdhe par hal le jaane vaale
sadiyāñ palTeñ duniyā badle
yā mulkoñ kā naqsha badle
kuchh se kuchh hoñ rañg fazā ke
charḳh se barseñ aag ke sho.ale
dhīmī ho yā tund havā ho
aalam har vaadī kā nayā ho
charḳh hazāroñ palTe khaa.e
kyā mumkin jo tujh ko satā.e
saare jahāñ meñ jañg chhiḌī ho
duniyā bhar meñ aag lagī ho
kyoñ ho shorish terī sadā meñ
amn ho jab khetoñ kī fazā meñ
giit hī terā naġhma-e-shādī
tujh par sadqe har āzādī
sab par haavī himmat terī
sachchī hai ye shaukat terī
vaqt ko tū ġhaflat meñ na kho.e
khet meñ tū kāñToñ ko na bo.e
ghaas hai terā bistar-e-maḳhmal
oḌhne ko bosīda kamal
jañgal jhāḌī bastī terī
shaah se behtar hastī terī
tū hai aur zamāna terā
ham haiñ aur fasāna terā
ai nature ke raj dulare
ai fitrat ki aankh ke tare
mehnat ka phal pane wale
kandhe par hal le jaane wale
sadiyan palTen duniya badle
ya mulkon ka naqsha badle
kuchh se kuchh hon rang faza ke
charKH se barsen aag ke shoale
dhimi ho ya tund hawa ho
aalam har wadi ka naya ho
charKH hazaron palTe khae
kya mumkin jo tujh ko satae
sare jahan mein jang chhiDi ho
duniya bhar mein aag lagi ho
kyon ho shorish teri sada mein
amn ho jab kheton ki faza mein
git hi tera naghma-e-shadi
tujh par sadqe har aazadi
sab par hawi himmat teri
sachchi hai ye shaukat teri
waqt ko tu ghaflat mein na khoe
khet mein tu kanTon ko na boe
ghas hai tera bistar-e-maKHmal
oDhne ko bosida kamal
jangal jhaDi basti teri
shah se behtar hasti teri
tu hai aur zamana tera
hum hain aur fasana tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.