gharib
nannhī bholī maile maile gāloñ vaalī be-sudh sī ik bachchī
terī jānib dekh rahī hai dekh us kī āñkheñ terī tavajjoh kī pyāsī haiñ
us kī nāzuk behis ThoḌī ko apnī uñglī kī sunahrī por se mas to kar aur
us se itnā to pūchh achchhī billū tū kyoñ chup hai
aur jab vo muñh pher ke apnī āñkheñ apne hī chehre pe jhukā le
tū hī baḌh kar us ke māthe ko apne hoñToñ se lagā le haañ aise hī
kyoñ us jhanjhelū ne tujh se kahā kyā
ye kyā terī āñkheñ bhiig ga.iiñ kyoñ
us ne tujh se kahā kyā sātoñ āsmānoñ ke mālik
itne patle dil vaale mālik ham bhī roz us chehre kī kathā sunte haiñ
ham to kaḌā kar lete haiñ jī aise mauqoñ par
nannhi bholi maile maile galon wali be-sudh si ek bachchi
teri jaanib dekh rahi hai dekh us ki aankhen teri tawajjoh ki pyasi hain
us ki nazuk behis ThoDi ko apni ungli ki sunahri por se mas to kar aur
us se itna to puchh achchhi billu tu kyon chup hai
aur jab wo munh pher ke apni aankhen apne hi chehre pe jhuka le
tu hi baDh kar us ke mathe ko apne honTon se laga le han aise hi
kyon us jhanjhelu ne tujh se kaha kya
ye kya teri aankhen bhig gain kyon
us ne tujh se kaha kya saton aasmanon ke malik
itne patle dil wale malik hum bhi roz us chehre ki katha sunte hain
hum to kaDa kar lete hain ji aise mauqon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.