garmi
ab garmī aa jā.egī
naak chane chabvā.egī
sūraj sar par aa.egā
parchhā.īñ chhup jā.egī
tap ke zamīñ ab sūraj se
tāñbā sī ho jā.egī
dhuup meñ chalne phirne se
dekhnā lū lag jā.egī
hoñT tirī koseñge
ḳhushk zabāñ ho jā.egī
sharbat aur fālūde se
dil kī kalī khil jā.egī
barf banegī kasrat se
ghar ghar bikne aa.egī
ThanDe paanī se ḳhas kī
TaTTī chhiḌkī jā.egī
garmī kī garmā garmī
dekhnā naach nachā.egī
kaam se jī uktā.egā
jism meñ jaañ baulā.egī
aisī garmī meñ kyoñ kar
nazm ye likhī jā.egī
ab garmi aa jaegi
nak chane chabwaegi
suraj sar par aaega
parchhain chhup jaegi
tap ke zamin ab suraj se
tanba si ho jaegi
dhup mein chalne phirne se
dekhna lu lag jaegi
honT teri kosenge
KHushk zaban ho jaegi
sharbat aur falude se
dil ki kali khil jaegi
barf banegi kasrat se
ghar ghar bikne aaegi
ThanDe pani se KHas ki
TaTTi chhiDki jaegi
garmi ki garma garmi
dekhna nach nachaegi
kaam se ji uktaega
jism mein jaan baulaegi
aisi garmi mein kyon kar
nazm ye likhi jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.