garmi ka mausam
may kā aan pahuñchā hai mahīna
bahā choTī se eḌī tak pasīnā
baje baara to sūraj sar pe aayā
huā pairoñ tale poshīda saayā
chalī lū aur taḌāqe kī paḌī dhuup
lapaT hai aag kī goyā kaḌī dhuup
zamīñ hai yā koī jaltā tavā hai
koī sho.ala hai yā pachhuā havā hai
dar-o-dīvār haiñ garmī se tapte
banī-ādam haiñ machhlī se taḌapte
parinde uḌ ke haiñ paanī pe girte
charinde bhī haiñ ghabrā.e se phirte
darinde chhup ga.e haiñ jhāḌiyoñ meñ
magar Duube paḌe haiñ khāḌiyoñ meñ
na pūchho kuchh ġharīboñ ke makāñ kī
zamīñ kā farsh hai chhat āsmāñ kī
na pañkhā hai na TaTTī hai na kamra
zarā sī jhoñpaḌī mehnat kā samra
amīroñ ko mubārak ho havelī
ġharīboñ kā bhī hai allāh belī
may ka aan pahuncha hai mahina
baha choTi se eDi tak pasina
baje bara to suraj sar pe aaya
hua pairon tale poshida saya
chali lu aur taDaqe ki paDi dhup
lapaT hai aag ki goya kaDi dhup
zamin hai ya koi jalta tawa hai
koi shoala hai ya pachhua hawa hai
dar-o-diwar hain garmi se tapte
bani-adam hain machhli se taDapte
parinde uD ke hain pani pe girte
charinde bhi hain ghabrae se phirte
darinde chhup gae hain jhaDiyon mein
magar Dube paDe hain khaDiyon mein
na puchho kuchh gharibon ke makan ki
zamin ka farsh hai chhat aasman ki
na pankha hai na TaTTi hai na kamra
zara si jhonpaDi mehnat ka samra
amiron ko mubarak ho haweli
gharibon ka bhi hai allah beli
- Book : Bchchon ke ismaiil merthi (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.