garmi
sardī guzrī garmī aa.ī
saath meñ apne halchal laa.ī
garm havā har-sū chaltī hai
sūraj se dhartī jaltī hai
insānoñ kā haal burā hai
haivānoñ meñ hashr bapā hai
jhulas rahe haiñ peḌ aur paude
pighal rahe haiñ barf ke tode
suukh ga.e haiñ naddī naale
paḌ ga.e sab kī jaan ke laale
utrā huā hai sab kā chehra
ghar ke bāhar lū kā ḳhatra
DhūñD rahā hai har ik saayā
garmī ne itnā garmāyā
ThanDā paanī lassī sharbat
baḌh ga.ī in se sab kī chāhat
lemūñ kā ras aam kā pattā
khāte haiñ sab shauq se gannā
pañkhā tezī se chaltā hai
jism magar phir bhī jaltā hai
sab kī zabāñ par paanī paanī
bhej de maulā barkhā-rānī
sardi guzri garmi aai
sath mein apne halchal lai
garm hawa har-su chalti hai
suraj se dharti jalti hai
insanon ka haal bura hai
haiwanon mein hashr bapa hai
jhulas rahe hain peD aur paude
pighal rahe hain barf ke tode
sukh gae hain naddi nale
paD gae sab ki jaan ke lale
utra hua hai sab ka chehra
ghar ke bahar lu ka KHatra
DhunD raha hai har ek saya
garmi ne itna garmaya
ThanDa pani lassi sharbat
baDh gai in se sab ki chahat
lemun ka ras aam ka patta
khate hain sab shauq se ganna
pankha tezi se chalta hai
jism magar phir bhi jalta hai
sab ki zaban par pani pani
bhej de maula barkha-rani
- Book : Tazgi (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.