garmiyan aa gain
zarre zarre pe bijlī sī barsā ga.iiñ
chalte chalte jo pañkhā zarā ruk gayā
jis ko bhī chhū liyā us ko garmā ga.iiñ
jhaT pasīne kā dariyā sā bahne lagā
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
ThanDī ThanDī havāoñ kā mausam gayā
garm paanī hai koī piye kis tarah
kaalī kaalī ghaTāoñ kā mausam gayā
aur na paanī piye to jiye kis tarah
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
dhuup meñ paañv miTTī pe jo paḌ gayā
lījiye ghar meñ bāhar se barf aa ga.ī
dhuup meñ kyā rakhā aag par rakh diyā
saare bachchoñ meñ paidā huī khalbalī
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
dhuup meñ ghar se bāhar na jaa.e koī
barf vaalī kaTorī jo muñh se lagī
jaan kar lū kā jhoñkā na khaa.e koī
sach ye hai jaan meñ jaan hī aa ga.ī
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
mez bhī garm hai khaaT bhī garm hai
farsh bhī garm hai TaaT bhī garm hai
garmiyāñ aa ga.iiñ
garmiyāñ aa ga.iiñ
zarre zarre pe bijli si barsa gain
chalte chalte jo pankha zara ruk gaya
jis ko bhi chhu liya us ko garma gain
jhaT pasine ka dariya sa bahne laga
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
ThanDi ThanDi hawaon ka mausam gaya
garm pani hai koi piye kis tarah
kali kali ghaTaon ka mausam gaya
aur na pani piye to jiye kis tarah
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
dhup mein panw miTTi pe jo paD gaya
lijiye ghar mein bahar se barf aa gai
dhup mein kya rakha aag par rakh diya
sare bachchon mein paida hui khalbali
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
dhup mein ghar se bahar na jae koi
barf wali kaTori jo munh se lagi
jaan kar lu ka jhonka na khae koi
sach ye hai jaan mein jaan hi aa gai
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
mez bhi garm hai khaT bhi garm hai
farsh bhi garm hai TaT bhi garm hai
garmiyan aa gain
garmiyan aa gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.