gautam-budh
husn jab afsurda phūloñ kī tarah pāmāl thā
jab mohabbat kā ġhalat duniyā meñ isti.māl thā
be-ḳhudī ke naam par jab daur-e-jām-e-bāda thā
jab taljallī-e-haqīqat se har ik dil saada thā
ziist kā aur maut kā idrāk duniyā ko na thā
zulm kā ehsās jab be-bāk duniyā ko na thā
band āñkheñ kar ke is duniyā ke makrūhāt se
tū ne hāsil kī ziyā-e-dil, tajalliyyāt se
barf-zāroñ ko tire anfās ne garmā diyā
tere istiġhnā ne taḳht-e-saltanat Thukrā diyā
yaad terī aaj bhī hindustāñ meñ taaza hai
chīn, jāpān aur tibbat tak tirā āvāza hai
raushnī jis kī na hogī maañd vo mash.al hai tū
sar-zamīn-e-hind kā irfānī-e-avval hai tū
husn jab afsurda phulon ki tarah pamal tha
jab mohabbat ka ghalat duniya mein istimal tha
be-KHudi ke nam par jab daur-e-jam-e-baada tha
jab taljalli-e-haqiqat se har ek dil sada tha
zist ka aur maut ka idrak duniya ko na tha
zulm ka ehsas jab be-bak duniya ko na tha
band aankhen kar ke is duniya ke makruhat se
tu ne hasil ki ziya-e-dil, tajalliyyat se
barf-zaron ko tere anfas ne garma diya
tere istighna ne taKHt-e-saltanat Thukra diya
yaad teri aaj bhi hindustan mein taza hai
chin, japan aur tibbat tak tera aawaza hai
raushni jis ki na hogi mand wo mashal hai tu
sar-zamin-e-hind ka irfani-e-awwal hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.