gautam ke liye nazm
rishī munī-o-gyānī
gyaan sarat kī gīdaḌ sañghī mil jaa.e to mujhe batānā
ise batānā use batānā sab ko batānā
merī āñkheñ to terī dahlīz ke bāhar
jaane kab se laTak rahī haiñ lauT ke aanā
rishī munī-o-gyānī
saare daraḳhtoñ par chīloñ kī kaalī dahshat mañDlātī hai
aur jaḌoñ meñ saañp uge haiñ
haañ bodhī kā peḌ kahīñ mil jaa.e to batlānā
lauT ke aanā
rishī munī-o-gyānī
rishi muni-o-gyani
gyan sarat ki gidaD sanghi mil jae to mujhe batana
ise batana use batana sab ko batana
meri aankhen to teri dahliz ke bahar
jaane kab se laTak rahi hain lauT ke aana
rishi muni-o-gyani
sare daraKHton par chilon ki kali dahshat manDlati hai
aur jaDon mein sanp uge hain
han bodhi ka peD kahin mil jae to batlana
lauT ke aana
rishi muni-o-gyani
- Book : siip-volume-35 (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.