gaya sal
gayā saal
jaate hue
merī dahlīz par
raakh kā Dher
jhulse hue jism
TuuTe hue uzv
sitambar kī barbādiyoñ pe likhe marsiyoñ
aur aḳhbār kī surḳhiyoñ meñ tarāshoñ meñ
lipTī huī zard ma.asūm lāsheñ
ThiThurte hue sard sūraj kī pahlī kiran meñ bañdhī
world order kī miTtī huī dastāvezoñ ke ambār ko chhoḌ kar jā chukā hai
gaya sal
jate hue
meri dahliz par
rakh ka Dher
jhulse hue jism
TuTe hue uzw
sitambar ki barbaadiyon pe likhe marsiyon
aur aKHbar ki surKHiyon mein tarashon mein
lipTi hui zard masum lashen
ThiThurte hue sard suraj ki pahli kiran mein bandhi
world order ki miTti hui dastawezon ke ambar ko chhoD kar ja chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.