ghazal-e-shab ke sath
maiñ yahāñ nahīñ thā
maiñ vahāñ nahīñ thā
dard-bhare āsmān meñ
chīḳh ban ke
ubhar rahā thā
tañg ghāTiyoñ meñ
guuñj ban rahā thā
samundaroñ pe
reza reza gir rahā thā
maiñ yahāñ nahīñ thā
kaale jañgaloñ ke ghor añdhere meñ thā
rafta rafta sab siyāhī miT ga.ī
saare jañgal
kaT ga.e
hayūle ghaTte ghaTte
ġhazāl-e-shab bane
añdhere chhaT ga.e
abr ke siyāh TukḌe dhund ban ga.e
chār-sū dhund phailtī ga.ī
ikā.īyoñ ko duur duur tak bahātī
chār-sū phailtī ga.ī
dhund meñ
ġhazāl-e-shab ne
rafta rafta aañkh kholī
zabān se kuchh na bolī
haft-āsmānoñ se le ke
taht-us-surā tak
hazār-hā charāġh jal uThe
raushnī se jal ga.ī
ġhazāl-e-shab kī aañkh nuur thī
ġhazāl-e-shab kī aañkh tuur thī
rafta rafta
raushnī ne raushnī ko
apnī jānib khīñchā
aur maiñ nuur meñ nahā gayā
dūdhiyā siyah rañg
chahār samt chhā gayā
pāniyoñ kā zor
baḌhne lagā
sailāb aayā
bāñdh TuuTe
ret ke gharauñde
miTTī ke gaañv
pattharoñ ke shahr Dhah ga.e
sub.h-o-shām ke kināre
ek duuje se gale mil ga.e
añdhere jism ke khañDar kī
siyāh tāqoñ meñ
diloñ ke sau charāġh jal ga.e
rafta rafta
ġhazāl-e-shab ne aañkh band kī
aur
saarā paanī khaa.ī kī taraf chalā gayā
tez pāniyoñ meñ
maiñ bhī aa gayā
ab faqat
maiñ raushnī meñ band huuñ
aur
añdheroñ ko taras rahā huuñ
maiñ yahāñ nahīñ huuñ
maiñ
ġhazāl-e-shab ke saath huuñ
maiñ
ġhazāl-e-shab ke saath huuñ
main yahan nahin tha
main wahan nahin tha
dard-bhare aasman mein
chiKH ban ke
ubhar raha tha
tang ghaTiyon mein
gunj ban raha tha
samundaron pe
reza reza gir raha tha
main yahan nahin tha
kale jangalon ke ghor andhere mein tha
rafta rafta sab siyahi miT gai
sare jangal
kaT gae
hayule ghaTte ghaTte
ghazal-e-shab bane
andhere chhaT gae
abr ke siyah TukDe dhund ban gae
chaar-su dhund phailti gai
ikaiyon ko dur dur tak bahati
chaar-su phailti gai
dhund mein
ghazal-e-shab ne
rafta rafta aankh kholi
zaban se kuchh na boli
haft-asmanon se le ke
taht-us-sura tak
hazar-ha charagh jal uThe
raushni se jal gai
ghazal-e-shab ki aankh nur thi
ghazal-e-shab ki aankh tur thi
rafta rafta
raushni ne raushni ko
apni jaanib khincha
aur main nur mein naha gaya
dudhiya siyah rang
chahaar samt chha gaya
paniyon ka zor
baDhne laga
sailab aaya
bandh TuTe
ret ke gharaunde
miTTi ke ganw
pattharon ke shahr Dhah gae
subh-o-sham ke kinare
ek duje se gale mil gae
andhere jism ke khanDar ki
siyah taqon mein
dilon ke sau charagh jal gae
rafta rafta
ghazal-e-shab ne aankh band ki
aur
sara pani khai ki taraf chala gaya
tez paniyon mein
main bhi aa gaya
ab faqat
main raushni mein band hun
aur
andheron ko taras raha hun
main yahan nahin hun
main
ghazal-e-shab ke sath hun
main
ghazal-e-shab ke sath hun
- Book : saughat-pahli-kitab-magazines (Pg. 372)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.