ghazal-cha
hameñ chāhiye roz achchhe khilaune
imirtī qalāqand rabḌī ke done
ham schōl jā.eñge kuchh laTe ho kar
abhī nau baje haiñ abhī diije sone
hameñ aaj circus kā show dekhnā hai
vo jhūloñ ke kartab maze karte baune
ye itvār aa.egā phir saat din meñ
ye picnic ke pal haiñ baḌe hī salone
baḌī jaan khāte haiñ ye mammy daddy
na āñgan hamārā na kamre ke kone
hue fail āḳhir nahīñ paḌhne vaale
duā.eñ bhī māñgīñ kiye jaadū Tone
kahā vaqt ne ilm se dil lagāo
'niyāz' imtihāñ meñ lage ham jo rone
hamein chahiye roz achchhe khilaune
imirti qalaqand rabDi ke done
hum school jaenge kuchh laTe ho kar
abhi nau baje hain abhi dije sone
hamein aaj circus ka show dekhna hai
wo jhulon ke kartab maze karte baune
ye itwar aaega phir sat din mein
ye picnic ke pal hain baDe hi salone
baDi jaan khate hain ye mammy daddy
na aangan hamara na kamre ke kone
hue fail aaKHir nahin paDhne wale
duaen bhi mangin kiye jadu Tone
kaha waqt ne ilm se dil lagao
'niyaz' imtihan mein lage hum jo rone
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.