ghazal kya hai
hai ġhazal meñ zindagī se guftugū
kahte haiñ urdu kī hai ye aabrū
haañ ġhazal meñ āshiqī kā aks hai
mai-kade kī raushnī kā aks hai
sher is ke yaad rakkhe jaate haiñ
bachcho ye har ik ke dil ko bhāte haiñ
'mīr'-o-'ġhālib' kī ġhazal mash.hūr hai
is meñ ishq-o-falsafa kā nuur hai
hai ġhazal hindī meñ īrānī meñ hai
ik nasha sā is ke sheroñ hī meñ hai
sher ġhazloñ kā har ik āzād hai
husn aur hikmat se jo ābād hai
nazm par bachcho ġhazal bhārī huī
is kī shohrat baḌh rahī hai aaj bhī
ban ke kyoñ bachchoñ kā shā.ir hī rahūñ
ab ġhazal 'hāfiz' koī achchhī kahūñ
hai ghazal mein zindagi se guftugu
kahte hain urdu ki hai ye aabru
han ghazal mein aashiqi ka aks hai
mai-kade ki raushni ka aks hai
sher is ke yaad rakkhe jate hain
bachcho ye har ek ke dil ko bhate hain
'mir'-o-'ghaalib' ki ghazal mashhur hai
is mein ishq-o-falsafa ka nur hai
hai ghazal hindi mein irani mein hai
ek nasha sa is ke sheron hi mein hai
sher ghazlon ka har ek aazad hai
husn aur hikmat se jo aabaad hai
nazm par bachcho ghazal bhaari hui
is ki shohrat baDh rahi hai aaj bhi
ban ke kyon bachchon ka shair hi rahun
ab ghazal 'hafiz' koi achchhi kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.