gebi
zindagī myth nahīñ
jo purāne ma.ānī kī
mayyā se lipTī rahe
jaise baby kī tasvīr ke
caption meñ batāyā gayā hai
use apnī mā+mā ne
ik aur laḌkī ke egg se liyā
tiin million meñ saudā huā
baap us kā
balDī bahut lālchī thā
magar ḳhūb-rū naujavāñ mashriqī
kaalī āñkhoñ ke ejaaz ne
daam dugnā kiyā
mezbāñ
us kī maañ ik kirā.e kī aurat
ne noma ke nau laakh māñge
adā kar diye
zindagī myth nahīñ hai
purāne ma.ānī kī mayyā nahīñ hai
ye havvā nahīñ hai
ye lazbā.ī culture kī baby hai
gebī hai
jis meñ
ḳhudā aadmī baap aur maañ
kī myth ke ma.ānī kī mayyā nahīñ hai
zindagi myth nahin
jo purane maani ki
mayya se lipTi rahe
jaise baby ki taswir ke
caption mein bataya gaya hai
use apni ma+ma ne
ek aur laDki ke egg se liya
tin million mein sauda hua
bap us ka
balDi bahut lalchi tha
magar KHub-ru naujawan mashriqi
kali aankhon ke ejaz ne
dam dugna kiya
mezban
us ki man ek kirae ki aurat
ne noma ke nau lakh mange
ada kar diye
zindagi myth nahin hai
purane maani ki mayya nahin hai
ye hawwa nahin hai
ye lazbai culture ki baby hai
gebi hai
jis mein
KHuda aadmi bap aur man
ki myth ke maani ki mayya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.