ghaDi mein aks-e-insan
ghar kī baiThak meñ ik mez par
ik purānī ghaḌī
sub.h se shaam tak
shaam se sub.h tak
aur phir is tarah
sub.h se shaam tak
shaam se sub.h tak
vaqt ke dā.ere meñ musalsal ka.ī saal se
kar rahī hai safar
manzil-e-intihā se bahut duur hai aaj tak vo magar
asl meñ us kī manzil nahīñ hai koī
aaj maiñ der tak ġhaur se us ko taktā rahā
aur us meñ mujhe aks-e-insāñ dikhā.ī diyā
ghar ki baiThak mein ek mez par
ek purani ghaDi
subh se sham tak
sham se subh tak
aur phir is tarah
subh se sham tak
sham se subh tak
waqt ke daere mein musalsal kai sal se
kar rahi hai safar
manzil-e-intiha se bahut dur hai aaj tak wo magar
asl mein us ki manzil nahin hai koi
aaj main der tak ghaur se us ko takta raha
aur us mein mujhe aks-e-insan dikhai diya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 590)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.