ghar ki chinta
ghar se bāhar
āñgan meñ
khaaT pe baiThī
tiin aurteñ
khusur-pusur kartī haiñ!
ek moTī hai
dūsrī lambī
tīsrī qad kī chhoTī hai
chhoTī donoñ haath hilā ke
muñh hī muñh meñ
jaane kyā kahtī hai
lambī sar se sar joḌe
baḌe chaav se suntī hai
moTī naak pe uñglī dhar ke
binā sune hī
maTkī sā sar dhuntī hai
paas hī ik nannhī sī chiḌiyā
gire paḌe tinke chuntī hai!
ghar se bahar
aangan mein
khaT pe baiThi
tin aurten
khusur-pusur karti hain!
ek moTi hai
dusri lambi
tisri qad ki chhoTi hai
chhoTi donon hath hila ke
munh hi munh mein
jaane kya kahti hai
lambi sar se sar joDe
baDe chaw se sunti hai
moTi nak pe ungli dhar ke
bina sune hi
maTki sa sar dhunti hai
pas hi ek nannhi si chiDiya
gire paDe tinke chunti hai!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 535)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.