Topī jane.ū Tiika maalā chhāp tilak kī jhūTī haalā
haiñ ye sab bāzār kī chīzeñ naqlī aur bekār kī chīzeñ
tan man meñ gar koḌh huā hai kab us ko resham ne Dhakā hai
phīkā hai har ek libās dil meñ agar nahīñ vishvās
kaalī safed agar haiñ nazreñ jīvan pe lagtī haiñ qaideñ
phīke phīke chāñd sitāre indr-dhanush ke rañg bhī saare
aisā hai par merā ghar
jis meñ nahīñ dīvār yā dar
kirnoñ kā saayā paḌtā hai
insāñ bas insāñ rahtā hai
merā ghar hai ruuh mirī
rasta manzil sabhī vahī
Topi janeu Tika mala chhap tilak ki jhuTi haala
hain ye sab bazar ki chizen naqli aur bekar ki chizen
tan man mein gar koDh hua hai kab us ko resham ne Dhaka hai
phika hai har ek libas dil mein agar nahin wishwas
kali safed agar hain nazren jiwan pe lagti hain qaiden
phike phike chand sitare indr-dhanush ke rang bhi sare
aisa hai par mera ghar
jis mein nahin diwar ya dar
kirnon ka saya paDta hai
insan bas insan rahta hai
mera ghar hai ruh meri
rasta manzil sabhi wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.