gharaunde
kahte haiñ ek roz ye mirrīḳh bhī kabhī
apnī zamīn hī kī tarah ik jahān thā
ābād the vahāñ bhī baḌe pur-shikoh log
ilm-o-hunar meñ hikmat-o-dānish meñ taaq the
muTThī meñ un kī saarī tavānā.ī qaid thī
atom kī quvvatoñ pe baḌā iḳhtiyār thā
ik roz un kī ġhalatī se yā phir ġhurūr se
atom kī saarī quvvateñ āzād ho ga.iiñ
saarī havā-e-zīst fazā se nikal ga.ī
mirrīḳh jo zamīn hī jaisā jahān thā
jal-bhun ke murda ḳhaak kā ik Dher rah gayā
ham bhī to ilm-o-hikmat-o-dānish meñ kam nahīñ
ham ko bhī apnī atomī tāqat pe naaz hai
kahte hain ek roz ye mirriKH bhi kabhi
apni zamin hi ki tarah ek jahan tha
aabaad the wahan bhi baDe pur-shikoh log
ilm-o-hunar mein hikmat-o-danish mein taq the
muTThi mein un ki sari tawanai qaid thi
atom ki quwwaton pe baDa iKHtiyar tha
ek roz un ki ghalati se ya phir ghurur se
atom ki sari quwwaten aazad ho gain
sari hawa-e-zist faza se nikal gai
mirriKH jo zamin hi jaisa jahan tha
jal-bhun ke murda KHak ka ek Dher rah gaya
hum bhi to ilm-o-hikmat-o-danish mein kam nahin
hum ko bhi apni atomi taqat pe naz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.