ghoDe par ek lash
guuñj uThī saarī vaadī zaḳhmī ghoḌe kī Tāpoñ se
Tāpoñ kī āvāz pahāḌoñ se Takrā.ī bikhrī
dhuup kisī ūñchī choTī se girte-paḌte utrī
baḌe baḌe pattharoñ ke nīche sāyoñ ne harkat kī
uḌte gidh kī āñkhoñ meñ tasvīr banī hairat kī
ret chamaktī ret, ret aur patthar aur ik ghoḌā
ghoḌe par ik lāsh, laash ko le kar ghoḌā dauḌā
hairat kī tasvīr girī chakrāte gidh kī āñkhoñ se
guuñj uThī saarī vaadī zaḳhmī ghoḌe kī Tāpoñ se
gunj uThi sari wadi zaKHmi ghoDe ki Tapon se
Tapon ki aawaz pahaDon se Takrai bikhri
dhup kisi unchi choTi se girte-paDte utri
baDe baDe pattharon ke niche sayon ne harkat ki
uDte gidh ki aankhon mein taswir bani hairat ki
ret chamakti ret, ret aur patthar aur ek ghoDa
ghoDe par ek lash, lash ko le kar ghoDa dauDa
hairat ki taswir giri chakraate gidh ki aankhon se
gunj uThi sari wadi zaKHmi ghoDe ki Tapon se
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 142)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.