ghunghru ka git
sun mire sāthī sun
ghuñghrū ke haiñ jitne daane
ek hai sab kī dhun
chhan chhan chhan
milnā-julnā kaam sañvāre
mil-jul kar hī chamkeñ taare
mile-jule haiñ ghuñghrū saare
dekho in ke gun
bijlī ho to lahrātī hai
ret meñ mauj nahīñ aatī hai
jhūTī aab utar jaatī hai
sachche motī chun
sochā samjhā dekhā-bhālā
pyaar kā rishta sab se achchhā
sab se achchhā pyaar kā rishta
pyaar ke bandhan ban
sun mere sathi sun
ghunghru ke hain jitne dane
ek hai sab ki dhun
chhan chhan chhan
milna-julna kaam sanware
mil-jul kar hi chamken tare
mile-jule hain ghunghru sare
dekho in ke gun
bijli ho to lahraati hai
ret mein mauj nahin aati hai
jhuTi aab utar jati hai
sachche moti chun
socha samjha dekha-bhaala
pyar ka rishta sab se achchha
sab se achchha pyar ka rishta
pyar ke bandhan ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.