jī meñ aatā hai ki is kaan se sūrāḳh karūñ
khīñch kar dūsrī jānib se nikālūñ us ko
saarī kī saarī nichoḌūñ ye rageñ, saaf karūñ
bhar duuñ resham kī jalā.ī huī bukkī in meñ
qahqahātī huī is bhiiḌ meñ shāmil ho kar
maiñ bhī ik baar hañsūñ, ḳhuub hañsūñ, ḳhuub hañsūñ
ji mein aata hai ki is kan se suraKH karun
khinch kar dusri jaanib se nikalun us ko
sari ki sari nichoDun ye ragen, saf karun
bhar dun resham ki jalai hui bukki in mein
qahqahati hui is bhiD mein shamil ho kar
main bhi ek bar hansun, KHub hansun, KHub hansun
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 111)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.