ghuTan
daane bikherne meñ to
bahak gayā thā haath vo
aur aab kī ravānī bhī
nasheb ko hī chal paḌī
taqsīm āsmān kī
vaise to ḳhair jo bhī thī
lekin huā to dahr meñ
taqsīm barābarī se kī
to bhuuk merī Thiik hai
aur pyaas kā javāz bhī
lekin ye merī ziist meñ
ghuTan kahāñ se aa ga.ī
dane bikherne mein to
bahak gaya tha hath wo
aur aab ki rawani bhi
nasheb ko hi chal paDi
taqsim aasman ki
waise to KHair jo bhi thi
lekin hua to dahr mein
taqsim barabari se ki
to bhuk meri Thik hai
aur pyas ka jawaz bhi
lekin ye meri zist mein
ghuTan kahan se aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.