Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghum raha hai pit ka pyasa

Ibn e Insha

ghum raha hai pit ka pyasa

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    dekh to gorī kise pukāre

    bastī bastī dvāre dvāre

    bar meñ jholī haath meñ kaasa

    ghuum rahā hai piit pyāsā

    dil meñ aag dabī hai Darnā

    āñkhoñ meñ ashkoñ jharnā

    lab par dard bāra-māsā

    ghuum rahā hai piit pyāsā

    kāñToñ se chhalnī haiñ paañv

    dhuup milī chehre par chhāñv

    aas milī āñkhoñ meñ nirāsā

    ghuum rahā hai piit pyāsā

    baat hamārī maan ke gorī

    sab duniyā se chorī chorī

    ghūñghaT paT khol zarā

    ghuum rahā hai piit pyāsā

    sūrat hai 'inshā'-jī

    baal pareshāñ āñkheñ nīchī

    naam bhī kuchh 'inshā'-jī

    ghuum rahā hai piit pyāsā

    soch nahīñ sājan ko bulā le

    aage baḌh siine se lagā le

    tujh-bin de ise kaun dilāsā

    ghuum rahā hai piit pyāsā

    dekh to gori kise pukare

    basti basti dware dware

    bar mein jholi hath mein kasa

    ghum raha hai pit ka pyasa

    dil mein aag dabi hai Darna

    aankhon mein ashkon ka jharna

    lab par dard ka bara-masa

    ghum raha hai pit ka pyasa

    kanTon se chhalni hain panw

    dhup mili chehre par chhanw

    aas mili aankhon mein nirasa

    ghum raha hai pit ka pyasa

    baat hamari man ke gori

    sab duniya se chori chori

    ghunghaT ka paT khol zara sa

    ghum raha hai pit ka pyasa

    surat hai 'insha'-ji ki si

    baal pareshan aankhen nichi

    nam bhi kuchh 'insha'-ji ka sa

    ghum raha hai pit ka pyasa

    soch nahin sajan ko bula le

    aage baDh sine se laga le

    tujh-bin de ise kaun dilasa

    ghum raha hai pit ka pyasa

    Source :
    • Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 28)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now