liye haath meñ ek chhoTā speaker
janāb musharraf ye farmā rahe the
mire bhā.iyo aur mere buzurgo
mujhe ilm hai ki tabāhī machā.ī baḌī zalzale ne
masā.ib tumhāre sabhī jāntā huuñ
tumhāre dukhoñ pe merī raat kī niiñd uḌ ga.ī hai
janāb musharraf ḳhitābat ke jauhar dikhā hī rahe the
ki majma.a se ik shaḳhs uThā
muḳhātab kiyā us ne aalī qadr ko
hamārī madad ko haiñ jitne bhī añgrez aa.e
ḳhudā kī qasam vo farishtoñ se kamtar nahīñ haiñ
sipāhī bhī jitne haiñ paak army ke
haiñ vo bhī ḳhulūs-o-mohabbat ke paikar
magar janāb-e-mohtaram ye haqīqat hai sun leñ
ba-zāhir razākār haiñ jo civil ke
sabhī to nahīñ par haiñ aksar luTere
ye bheḌoñ ke malbūs meñ bheḌiye haiñ
hamārī ġharībī ko pahchān kar ye
yahāñ ke maveshī baḌe saste dāmoñ
liye jā rahe haiñ
kudāleñ chalāte haiñ malbe ke andar
ki paa.eñ koī qīmtī shai
kisī nau-biyāhatā dulhan kā zevar
kisī baap kī umr-bhar kī kamā.ī
ye sach hai nahīñ DhūñDte ye
hamāre pyāre azīzoñ kī lāsheñ
faqat DhūñDte haiñ
ye matlab kī chīzeñ
ḳhudā ke liye ham ko in se bachā.eñ
ye gidh haiñ mabādā hameñ noch khā.eñ
janāb musharraf ne biptā sunī to
kaḌak kar ye bole
agar aadmī aisā manhūs pakḌo
to fauran use tum vahīñ Dher kar do
ijāzat hai tum ko ye merī taraf se
mile gar kahīñ dushman-e-qaum aisā
to us ko usī dam jahannum kā rasta dikhāo
janāb-e-musharraf kā farmān sun kar
jo majma.a se uTThā thā mard-e-qalandar
ḳhajil ho ke bolā sadā-e-ḳhafī se
agar ham meñ hotī itnī hī himmat
to ham aap se aise fariyād karte
liye hath mein ek chhoTa speaker
janab musharraf ye farma rahe the
mere bhaiyo aur mere buzurgo
mujhe ilm hai ki tabahi machai baDi zalzale ne
masaib tumhaare sabhi jaanta hun
tumhaare dukhon pe meri raat ki nind uD gai hai
janab musharraf KHitabat ke jauhar dikha hi rahe the
ki majma se ek shaKHs uTha
muKHatab kiya us ne aali qadr ko
hamari madad ko hain jitne bhi angrez aae
KHuda ki qasam wo farishton se kamtar nahin hain
sipahi bhi jitne hain pak army ke
hain wo bhi KHulus-o-mohabbat ke paikar
magar janab-e-mohtaram ye haqiqat hai sun len
ba-zahir razakar hain jo ciwil ke
sabhi to nahin par hain aksar luTere
ye bheDon ke malbus mein bheDiye hain
hamari gharibi ko pahchan kar ye
yahan ke maweshi baDe saste damon
liye ja rahe hain
kudalen chalate hain malbe ke andar
ki paen koi qimti shai
kisi nau-biyahata dulhan ka zewar
kisi bap ki umr-bhar ki kamai
ye sach hai nahin DhunDte ye
hamare pyare azizon ki lashen
faqat DhunDte hain
ye matlab ki chizen
KHuda ke liye hum ko in se bachaen
ye gidh hain mabaada hamein noch khaen
janab musharraf ne bipta suni to
kaDak kar ye bole
agar aadmi aisa manhus pakDo
to fauran use tum wahin Dher kar do
ijazat hai tum ko ye meri taraf se
mile gar kahin dushman-e-qaum aisa
to us ko usi dam jahannum ka rasta dikhao
janab-e-musharraf ka farman sun kar
jo majma se uTTha tha mard-e-qalandar
KHajil ho ke bola sada-e-KHafi se
agar hum mein hoti itni hi himmat
to hum aap se aise fariyaad karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.