gila kaghaz
kaale bādal
kal se ab tak baras rahe haiñ
aur vo laḌkā
jo kāġhaz ke gande TukḌe
idhar udhar chuntā phirtā hai
peT kī ḳhātir
saḌkoñ par ghūmā kartā hai
shaam ko nange fōTpāthoñ par
so jaatā hai
ristī huī lorry ke nīche
sukḌā huā ukḌūñ baiThā hai
aur kāġhaz ke giile TukḌe
māyūsī se dekh rahā hai
kale baadal
kal se ab tak baras rahe hain
aur wo laDka
jo kaghaz ke gande TukDe
idhar udhar chunta phirta hai
peT ki KHatir
saDkon par ghuma karta hai
sham ko nange fooTpathon par
so jata hai
risti hui lorry ke niche
sukDa hua ukDun baiTha hai
aur kaghaz ke gile TukDe
mayusi se dekh raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.