gili hijr ki qabren
kafan us kī ridāoñ kā
ta.affun hai sadāoñ kā
ki hañgāma sā barpā hai
ḳhamoshī kī adāoñ kā
sulagtī hai
sisaktī hai
qayāmat sī guzartī hai
jo lamhāt-e-judā.ī ko
kisī ujlī sī chādar meñ uThāte haiñ
zamīñ meñ jaise murde ko dabā kar lauT aate haiñ
magar vo bhuul jaate haiñ
ye qabreñ hijr kī niilī
hamesha giilī rahtī haiñ
kafan us ki ridaon ka
taffun hai sadaon ka
ki hangama sa barpa hai
KHamoshi ki adaon ka
sulagti hai
sisakti hai
qayamat si guzarti hai
jo lamhat-e-judai ko
kisi ujli si chadar mein uThate hain
zamin mein jaise murde ko daba kar lauT aate hain
magar wo bhul jate hain
ye qabren hijr ki nili
hamesha gili rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.