git ke jitne kafan hain
zindagī kī laash
dhakne ke liye
giit ke jitne kafan haiñ
haiñ bahut chhoTe
raat kī
partimā
sudhākr ne chhūī
piir ye
phir se
sitāroñ sī huī
aañkh kā ākāsh
dhakne ke liye
priit ke jitne sapan haiñ
haiñ bahut chhoTe
khoj meñ ho
jo
laraztī chhāñv kī
dard
pagDanDī nahīñ
us gaañv kī
piir kā uphās
dhakne ke liye
ashru ke jitne ratan haiñ
haiñ bahut chhoTe
zindagi ki lash
dhakne ke liye
git ke jitne kafan hain
hain bahut chhoTe
raat ki
partima
sudhakr ne chhui
pir ye
phir se
sitaron si hui
aankh ka aakash
dhakne ke liye
prit ke jitne sapan hain
hain bahut chhoTe
khoj mein ho
jo
larazti chhanw ki
dard
pagDanDi nahin
us ganw ki
pir ka uphas
dhakne ke liye
ashru ke jitne ratan hain
hain bahut chhoTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.