git KHushi ka gao
pyaar kī manzil duur hai pyāre
rag rag jaage ḳhuun kā dhārā
jab tak aas hai baaqī
saaz par raqs sunāo
giit ḳhushī kā gaao
nāhaq dard labāda oḌhe
kab kab dukh kā tohfa doge
dil ḳhuuñ ho jā.egā
jo bhī hai le aao
giit ḳhushī kā gaao
ūñchā ūñchā uḌne vaalo
pagle-pan se hāsil kyā hai
dekho nīche nīche dekho
jaldī jaldī aao
giit ḳhushī kā gaao
haath pe rakh kar jaan ko apnī
qadam qadam par sho.ala jaage
ye gulzār banāo
aao aao aao
giit ḳhushī kā gaao
pyar ki manzil dur hai pyare
rag rag jage KHun ka dhaara
jab tak aas hai baqi
saz par raqs sunao
git KHushi ka gao
nahaq dard labaada oDhe
kab kab dukh ka tohfa doge
dil KHun ho jaega
jo bhi hai le aao
git KHushi ka gao
uncha uncha uDne walo
pagle-pan se hasil kya hai
dekho niche niche dekho
jaldi jaldi aao
git KHushi ka gao
hath pe rakh kar jaan ko apni
qadam qadam par shoala jage
ye gulzar banao
aao aao aao
git KHushi ka gao
- Book : naquush (Pg. 230)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.