gireban ka fasla
kaT ga.ī raat magar
hijr ke jāgte pairāhan se
raat kī malgajī afsurda-mahak aatī hai
halqa-e-bād-e-sabā gardan meñ
vaqt saḌkoñ pe khiñchā phirtā hai
raah jaatī hī nahīñ koī bayābāñ kī taraf
haath baḌhte hī nahīñ apne garebāñ kī taraf
kaT gai raat magar
hijr ke jagte pairahan se
raat ki malgaji afsurda-mahak aati hai
halqa-e-baad-e-saba gardan mein
waqt saDkon pe khincha phirta hai
rah jati hi nahin koi bayaban ki taraf
hath baDhte hi nahin apne gareban ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.