girya-e-mast
ahbāb se chhup chhup ke bhī royā huuñ maiñ aksar
par aaj bharī bazm meñ
rone kā maza aur hī kuchh hai
ahbāb ko hairat ki mire qahqaha-bardār laboñ par
kyuuñ le ga.iiñ sabqat mirī bhīgī huī palkeñ
mire tapte hue aañsū
shāyad mire ahbāb ko ma.alūm nahīñ hai
iz.hār masarrat kabhī hotā hai jo ro kar
sau baar kā hañsnā bhī use chhū nahīñ saktā
aañsū haiñ vo motī
palkoñ ke sadaf se jo nikalte haiñ usī dam
jab dil ke samundar meñ
ḳhushī kā koī tūfān bapā ho
tūfān samā saktā nahīñ sirf hañsī meñ
aañsū hī use apnī tarāvaT meñ sameTeñ to sameTeñ
aañsū ki jasāmat meñ haiñ qatre se bhī kuchh kam
iz.hār masarrat meñ samundar se baḌe haiñ
behis mire ahbāb haiñ
kaash un ko batā.e koī hamdam
hāsil jo ḳhushī aaj huī hai mire dil ko
shāyad vo tabassum meñ sameTī hī na jaatī
hoñToñ pe tabassum bhī bahut ḳhuub hai lekin
āñkhoñ meñ tarashshoh kī fazā aur hī kuchh hai
us bazm meñ rone kā maza aur hī kuchh hai
ahbab se chhup chhup ke bhi roya hun main aksar
par aaj bhari bazm mein
rone ka maza aur hi kuchh hai
ahbab ko hairat ki mere qahqaha-bardar labon par
kyun le gain sabqat meri bhigi hui palken
mere tapte hue aansu
shayad mere ahbab ko malum nahin hai
izhaar masarrat kabhi hota hai jo ro kar
sau bar ka hansna bhi use chhu nahin sakta
aansu hain wo moti
palkon ke sadaf se jo nikalte hain usi dam
jab dil ke samundar mein
KHushi ka koi tufan bapa ho
tufan sama sakta nahin sirf hansi mein
aansu hi use apni tarawaT mein sameTen to sameTen
aansu ki jasamat mein hain qatre se bhi kuchh kam
izhaar masarrat mein samundar se baDe hain
behis mere ahbab hain
kash un ko batae koi hamdam
hasil jo KHushi aaj hui hai mere dil ko
shayad wo tabassum mein sameTi hi na jati
honTon pe tabassum bhi bahut KHub hai lekin
aankhon mein tarashshoh ki faza aur hi kuchh hai
us bazm mein rone ka maza aur hi kuchh hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 145)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.