gladiola
mirī kī alhaḌ pahāḌiyoñ ke chabūtaroñ par
harī harī narm lāmbī lāmbī ghaas se sar-kashīda shāḳheñ
hatheliyoñ par sajā.e sīndhūrī gul-adā se
fazā-e-ḳhush-rañg meñ lahak kar
har ek rahrav ke dāman-e-dil ko khīñchtī haiñ
sabā kī sargoshiyāñ musallam
ye kaise gul haiñ ki in kī ḳhushbū se chauñktā bhī nahīñ hai koī
magar unheñ dekh kar ka.ī tez-gām rahrav
sambhal ke chalne meñ āfiyat kā sahārā le kar
ḳhayāl kī vādiyoñ meñ aise utarne lagte haiñ jaise koī utārtā ho parī ko shīshe meñ ḳhāmushī se
kisī ke rañgoñ kī aañch hai aur kisī ke vijdān kā tahayyur
ye iztirār-e-nigāh bhī hai ye iztirāb-e-qulūb hai
ye bostān-e-jamāl ke ḳhush-ḳhirām rahrav
hujūm-e-rañg-e-ḳhayāl meñ raah se bhaTak kar
abad kī manzil ko dam-ba-dam DhūñDte raheñge
ye ek saa.at kā rañg jis meñ surūr bhī hai vuqūf bhī hai
yahī farāz-e-abad ke rastoñ kā rāzdāñ hai
ye rañg āñkhoñ ko ḳhīra kar de to kaun dekhe
varā-e-had-e-nigāh kyā hai
meri ki alhaD pahaDiyon ke chabutaron par
hari hari narm lambi lambi ghas se sar-kashida shaKHen
hatheliyon par sajae sindhuri gul-ada se
faza-e-KHush-rang mein lahak kar
har ek rahraw ke daman-e-dil ko khinchti hain
saba ki sargoshiyan musallam
ye kaise gul hain ki in ki KHushbu se chaunkta bhi nahin hai koi
magar unhen dekh kar kai tez-gam rahraw
sambhal ke chalne mein aafiyat ka sahaara le kar
KHayal ki wadiyon mein aise utarne lagte hain jaise koi utarta ho pari ko shishe mein KHamushi se
kisi ke rangon ki aanch hai aur kisi ke wijdan ka tahayyur
ye iztirar-e-nigah bhi hai ye iztirab-e-qulub hai
ye bostan-e-jamal ke KHush-KHiram rahraw
hujum-e-rang-e-KHayal mein rah se bhaTak kar
abad ki manzil ko dam-ba-dam DhunDte rahenge
ye ek saat ka rang jis mein surur bhi hai wuquf bhi hai
yahi faraaz-e-abad ke raston ka raazdan hai
ye rang aankhon ko KHira kar de to kaun dekhe
wara-e-had-e-nigah kya hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-269 p-257)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.