glass landscape
abhī sardī poroñ kī pahchān ke mausam meñ hai
is se pahle ki barf mere darvāze ke aage dīvār ban jaa.e
tum qahve kī pyālī se uThtī mahaktī bhaap kī tarah
merī pahchān kar lo
maiñ abhī tak sabz huuñ
muñh-band ilā.ichī kī tarah
maiñ ne aaj tumhārī yaad ke kabūtar ko
apne zehn ke kābuk se āzād kiyā
to mujhe andar kī patāvar dikhā.ī dī
chāñd puurā hone se pahle tum ne mujhe chhuā
aur baat puurī hone se pahle
tum ne baat ḳhatm kar dī
jānkārī ke bhī kitne dukh hote haiñ
bin kahe hī talḳh baat samajh meñ aa jaatī hai
achchhī baat ko dohrāne kī sa.ī
aur burī baat ko bhulāne kī jidd-o-johd meñ
zindagī biit jaatī hai
barf kī dīvār meñ
ab ke maiñ bhī chunvā dī jā.ūñgī
ki mujhe aag se kheltā dekh kar
dānish-mandoñ ne yahī faisla kiyā hai
maiñ tumhāre paas leTī huī bhī
phuljaḌī kī tarah sulagtī rahtī huuñ
maiñ tum se duur huuñ
tab bhī tum merī lapToñ se sulagte aur jhulaste rahte ho
samundar sirf chāñd kā kahā māntā hai
sar-e-shām jab sūraj aur merī āñkheñ surḳh hoñ
to maiñ chāñd ke bulāve pe samundar kā ḳharosh dekhne chalī jaatī huuñ
aur mere pairoñ ke nīche se ret nikal kar
mujhe be-zamīn kar detī hai
pair be-zamīn
aur sar be-āsmān
phāñsī par laTke shaḳhs kī tarah ho ke bhī
yahī samajhtī ho
ki muñh-band ilā.ichī kī tarah abhī tak sabz ho
abhi sardi poron ki pahchan ke mausam mein hai
is se pahle ki barf mere darwaze ke aage diwar ban jae
tum qahwe ki pyali se uThti mahakti bhap ki tarah
meri pahchan kar lo
main abhi tak sabz hun
munh-band ilaichi ki tarah
main ne aaj tumhaari yaad ke kabutar ko
apne zehn ke kabuk se aazad kiya
to mujhe andar ki patawar dikhai di
chand pura hone se pahle tum ne mujhe chhua
aur baat puri hone se pahle
tum ne baat KHatm kar di
jaankari ke bhi kitne dukh hote hain
bin kahe hi talKH baat samajh mein aa jati hai
achchhi baat ko dohrane ki sai
aur buri baat ko bhulane ki jidd-o-johd mein
zindagi bit jati hai
barf ki diwar mein
ab ke main bhi chunwa di jaungi
ki mujhe aag se khelta dekh kar
danish-mandon ne yahi faisla kiya hai
main tumhaare pas leTi hui bhi
phuljaDi ki tarah sulagti rahti hun
main tum se dur hun
tab bhi tum meri lapTon se sulagte aur jhulaste rahte ho
samundar sirf chand ka kaha manta hai
sar-e-sham jab suraj aur meri aankhen surKH hon
to main chand ke bulawe pe samundar ka KHarosh dekhne chali jati hun
aur mere pairon ke niche se ret nikal kar
mujhe be-zamin kar deti hai
pair be-zamin
aur sar be-asman
phansi par laTke shaKHs ki tarah ho ke bhi
yahi samajhti ho
ki munh-band ilaichi ki tarah abhi tak sabz ho
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 709)
- Author : Kishwar Nahiid
- Publication : Sang-e-mail publication lahore (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.