goDo
havā.eñ chaltī haiñ thamtī haiñ bahne lagtī haiñ
na.e libās na.e rañg-rūp saj-dhaj se
purāne zaḳhm na.e din ko yaad karte haiñ
vo din jo aa ke naqābeñ utaar Dālegā
nazar ko dil se milā.egā dil ko bātoñ se
har ek lafz meñ ma.anī kī raushnī hogī
magar ye ḳhvāb kī bāteñ sarāb kī yādeñ
har ek baar pashemān dil girafta haiñ
sub.h ke saare hī aḳhbār vahshat-afzā haiñ
har ek rahzan o rahbar kī aaj ban aa.ī
ki ab har ek jiyālā hai sūrmā sab haiñ
batā.ūñ kis se ki maiñ muntazir huuñ jis din kā
vo shāyad ab na kabhī aa.egā zamāne meñ
kahāñ pe hai mirā goDo mujhe ḳhabar hī nahīñ
use maiñ DhūñD chukā rome aur london meñ
na moscow meñ milā aur na chiin o paris meñ
bhalā milegā kahāñ bamba.ī kī galiyoñ meñ
ye intizār-e-musalsal ye jāñ-kanī ye azaab
har ek lamha jahannam har ek ḳhvāb sarāb
hawaen chalti hain thamti hain bahne lagti hain
nae libas nae rang-rup saj-dhaj se
purane zaKHm nae din ko yaad karte hain
wo din jo aa ke naqaben utar Dalega
nazar ko dil se milaega dil ko baaton se
har ek lafz mein mani ki raushni hogi
magar ye KHwab ki baaten sarab ki yaaden
har ek bar pasheman dil girafta hain
subh ke sare hi aKHbar wahshat-afza hain
har ek rahzan o rahbar ki aaj ban aai
ki ab har ek jiyala hai surma sab hain
bataun kis se ki main muntazir hun jis din ka
wo shayad ab na kabhi aaega zamane mein
kahan pe hai mera goDo mujhe KHabar hi nahin
use main DhunD chuka rome aur london mein
na moscow mein mila aur na chin o paris mein
bhala milega kahan bambai ki galiyon mein
ye intizar-e-musalsal ye jaan-kani ye azab
har ek lamha jahannam har ek KHwab sarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.