niiñd mere āsāb pe savār ho chukī hai
umiid ne dāman jhaTak kar
dahlīz par ūñghtī huī āñkhoñ ke haath zaḳhmī kar diye haiñ
intizār
apne mantiqī anjām ko pahuñch rahā hai
ab maiñ so jaanā chāhtā huuñ
niiñd se merī āñkheñ band ho rahī haiñ
haañ
sub.h agar merī āñkheñ na khul sakeñ
to mujhe muaaf kar denā
nind mere aasab pe sawar ho chuki hai
umid ne daman jhaTak kar
dahliz par unghti hui aankhon ke hath zaKHmi kar diye hain
intizar
apne mantiqi anjam ko pahunch raha hai
ab main so jaana chahta hun
nind se meri aankhen band ho rahi hain
han
subh agar meri aankhen na khul saken
to mujhe muaf kar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.