Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

good night

Nivesh Sahu

good night

Nivesh Sahu

MORE BYNivesh Sahu

    raat vaqt hai

    koī aahaT na kar

    baat jo bhī ho man meñ vo man meñ rakh

    bol dene se taklīf ghaTtī nahīñ

    balki baT jaatī hai aur

    baḌh jaatī hai

    raat ke vaqt to chup rahnā munāsib hai kahnā nahīñ

    ek bhī baat mujh par jo bhārī paḌe

    koī bhī baat jo mujh ko sone na de

    aur sun baat sun

    mere sun lene se ye pareshāniyāñ hal na hoñgī kabhī

    maiñ terā ek ma.amūlī āshiq huuñ chārāgar bhī nahīñ

    koī aisī pareshānī ho jis hal

    mere siine se lagte mil jā.egā to zahmat uThā

    mujh ko bas vo batā jis meñ jismoñ tāsīr kaam aa sake

    is barahna badan par badan tadbīr kaam aa sake

    aur ye mumkin na ho to vahī baat hai

    raat vaqt hai

    raat ka waqt hai

    koi aahaT na kar

    baat jo bhi ho man mein wo man mein hi rakh

    bol dene se taklif ghaTti nahin

    balki baT jati hai aur

    baDh jati hai

    raat ke waqt to chup hi rahna munasib hai kahna nahin

    ek bhi baat mujh par jo bhaari paDe

    koi bhi baat jo mujh ko sone na de

    aur sun baat sun

    mere sun lene se ye pareshaniyan hal na hongi kabhi

    main tera ek mamuli aashiq hi hun chaaragar bhi nahin

    koi aisi pareshani ho jis ka hal

    mere sine se lagte hi mil jaega to hi zahmat uTha

    mujh ko bas wo bata jis mein jismon ki tasir kaam aa sake

    is barahna badan par badan ki hi tadbir kaam aa sake

    aur ye mumkin na ho to wahi baat hai

    raat ka waqt hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now