goristan-e-shahi
Interesting Fact
From Part-3. 1908 (Bang-e-Dara)
āsmāñ bādal kā pahne ḳhirqa-e-derīna hai
kuchh mukaddar sā jabīn-e-māh kā ā.īna hai
chāñdnī phīkī hai is nazzāra-e-ḳhāmosh meñ
sub.h-e-sādiq so rahī hai raat kī āġhosh meñ
kis qadar ashjār kī hairat-fazā hai ḳhāmushī
barbat-e-qudrat kī dhīmī sī navā hai ḳhāmushī
bātin-e-har-zarra-e-ālim sarāpā dard hai
aur ḳhāmoshī lab-e-hastī pe āh-e-sard hai
aah jaulāñ-gāh-e-ālam-gīr yaanī vo hisār
dosh par apne uThā.e saikḌoñ sadiyoñ kā baar
zindagī se thā kabhī ma.amūr ab sunsān hai
ye ḳhamoshī us ke hañgāmoñ kā goristān hai
apne sukkān-e-kuhan kī ḳhaak kā dil-dāda hai
koh ke sar par misāl-e-pāsbāñ istāda hai
abr ke rauzan se vo bālā-e-bām-e-āsmāñ
nāzir-e-ālam hai najm-e-sabz-fām-e-āsmāñ
ḳhāk-bāzī vus.at-e-duniyā kā hai manzar use
dāstāñ nākāmi-e-insāñ kī hai azbar use
hai azal se ye musāfir sū-e-manzil jā rahā
āsmāñ se inqilāboñ kā tamāshā dekhtā
go sukūñ mumkin nahīñ aalam meñ aḳhtar ke liye
fātiha-ḳhvānī ko ye Thahrā hai dam bhar ke liye
rañg-o-āb-e-zinagī se gul-ba-dāman hai zamīñ
saikḌoñ ḳhūñ-gashta tahzīboñ kā madfan hai zamīñ
ḳhvāb-gah shāhoñ kī hai ye manzil-e-hasrat-fazā
dīda-e-ibrat ḳhirāj-e-ashk-e-gul-gūñ kar adā
hai to goristāñ magar ye ḳhāk-e-gardūñ-pāya hai
aah ik bargashta qismat qaum kā sarmāya hai
maqbaroñ kī shaan hairat-āfrīñ hai is qadar
jumbish-e-mizhgāñ se hai chashm-e-tamāshā ko hazar
kaifiyat aisī hai nākāmī kī is tasvīr meñ
jo utar saktī nahīñ ā.īna-e-tahrīr meñ
sote haiñ ḳhāmosh ābādī ke hañgāmoñ se duur
muztarib rakhtī thī jin ko ārzū-e-nā-subūr
qabr kī zulmat meñ hai in āftāboñ kī chamak
jin ke darvāzoñ pe rahtā hai jabīñ-gustār falak
kyā yahī hai in shahanshāhoñ kī azmat kā ma.aal
jin kī tadbīr-e-jahāñbānī se Dartā thā zavāl
rob-e-faġhfūrī ho duniyā meñ ki shān-e-qaisarī
Tal nahīñ saktī ġhanīm-e-maut kī yūrish kabhī
bādshāhoñ kī bhī kisht-e-umr kā hāsil hai gor
jāda-e-azmat kī goyā āḳhirī manzil hai gor
shorish-e-bazm-e-tarab kyā uud kī taqrīr kyā
dardmandān-e-jahāñ kā nāla-e-shab-gīr kyā
arsa-e-paikār meñ hañgāma-e-shamshīr kyā
ḳhuun ko garmāne vaalā nāra-e-takbīr kyā
ab koī āvāz sotoñ ko jagā saktī nahīñ
sīna-e-vīrāñ meñ jān-e-rafta aa saktī nahīñ
rūh-e-musht-e-ḳhāk meñ zahmat-kash-e-bedād hai
kūcha gard-e-nai huā jis dam nafas fariyād hai
zindagī insāñ kī hai mānind-e-murġh-e-ḳhush-navā
shāḳh par baiThā koī dam chahchahāyā uḌ gayā
aah kyā aa.e riyāz-e-dahr meñ ham kyā ga.e
zindagī kī shāḳh se phūTe khile murjhā ga.e
maut har shaah o gadā ke ḳhvāb kī tābīr hai
is sitamgar kā sitam insāf kī tasvīr hai
silsila hastī kā hai ik bahr-e-nā-paidā-kanār
aur is dariyā-e-be-pāyāñ kī maujeñ haiñ mazār
ai havas ḳhuuñ ro ki hai ye zindagī be-e'tibār
ye sharāre kā tabassum ye ḳhas-e-ātish-savār
chāñd jo sūrat-gar-e-hastī kā ik ejaaz hai
pahne sīmābī qabā mahv-e-ḳhirām-e-nāz hai
charḳh-e-be-anjum kī dahshatnāk vus.at meñ magar
bekasī is kī koī dekhe zarā vaqt-e-sahar
ik zarā sā abr kā TukḌā hai jo mahtāb thā
āḳhirī aañsū Tapak jaane meñ ho jis kī fanā
zindagī aqvām kī bhī hai yūñhī be-e'tibār
rañg-hā-e-rafta kī tasvīr hai un kī bahār
is ziyāñ-ḳhāne meñ koī millat-e-gardūñ-vaqār
rah nahīñ saktī abad tak bār-e-dosh-e-rozgār
is qadar qaumoñ kī barbādī se hai ḳhūgar jahāñ
dekhtā be-e'tinā.ī se hai ye manzar jahāñ
ek sūrat par nahīñ rahtā kisī shai ko qarār
zauq-e-jiddat se hai tarkīb-e-mizāj-e-rozgār
hai nagīn-e-dahr kī zīnat hamesha nām-e-nau
mādar-e-gītī rahī ābastan-e-aqvām-e-nau
hai hazāroñ qāfiloñ se āshnā ye rahguzar
chashm-e-koh-e-nūr ne dekhe haiñ kitne tājvar
misr o bābul miT ga.e baaqī nishāñ tak bhī nahīñ
daftar-e-hastī meñ un kī dāstāñ tak bhī nahīñ
aa dabāyā mehr-e-īrāñ ko ajal kī shaam ne
azmat-e-yūnān-o-rūmā luuT lī ayyām ne
aah muslim bhī zamāne se yūñhī ruḳhsat huā
āsmāñ se abr-e-āzārī uThā barsā gayā
hai rag-e-gul sub.h ke ashkoñ se motī kī laḌī
koī sūraj kī kiran shabnam meñ hai uljhī huī
sīna-e-dariyā shuāoñ ke liye gahvāra hai
kis qadar pyārā lab-e-jū mehr kā nazzāra hai
mahv-e-zīnat hai sanobar jūebār-e-ā.īna hai
ġhuncha-e-gul ke liye bād-e-bahār-e-ā.īna hai
na.ara-zan rahtī hai koyal baaġh ke kāshāne meñ
chashm-e-insāñ se nihāñ pattoñ ke uzlat-ḳhāne meñ
aur bulbul mutrib-e-rañgīñ navā-e-gulsitāñ
jis ke dam se zinda hai goyā havā-e-gulsitāñ
ishq ke hañgāmoñ kī uḌtī huī tasvīr hai
ḳhāma-e-qudrat kī kaisī shoḳh ye tahrīr hai
baaġh meñ ḳhāmosh jalse gulsitāñ-zādoñ ke haiñ
vādi-e-kohsār meñ na.are shabāñ-zādoñ ke haiñ
zindagī se ye purānā ḳhāk-dāñ ma.amūr hai
maut meñ bhī zindagānī kī taḌap mastūr hai
pattiyāñ phūloñ kī girtī haiñ ḳhizāñ meñ is tarah
dast-e-tifl-e-ḳhufta se rañgīñ khilaune jis tarah
is nashāt-ābād meñ go aish be-andāza hai
ek ġham yaanī ġham-e-millat hamesha taaza hai
dil hamāre yād-e-ahd-e-rafta se ḳhālī nahīñ
apne shāhoñ ko ye ummat bhūlne vaalī nahīñ
ashk-bārī ke bahāne haiñ ye ujḌe baam o dar
girya-e-paiham se biinā hai hamārī chashm-e-tar
dahr ko dete haiñ motī dīda-e-giryāñ ke ham
āḳhirī bādal haiñ ik guzre hue tūfāñ ke ham
haiñ abhī sad-hā guhar is abr kī āġhosh meñ
barq abhī baaqī hai is ke sīna-e-ḳhāmosh meñ
vādi-e-gul ḳhāk-e-sahrā ko banā saktā hai ye
ḳhvāb se ummīd-e-dahqāñ ko jagā saktā hai ye
ho chukā go qaum kī shān-e-jalālī kā zuhūr
hai magar baaqī abhī shān-e-jamālī kā zuhūr
aasman baadal ka pahne KHirqa-e-derina hai
kuchh mukaddar sa jabin-e-mah ka aaina hai
chandni phiki hai is nazzara-e-KHamosh mein
subh-e-sadiq so rahi hai raat ki aaghosh mein
kis qadar ashjar ki hairat-faza hai KHamushi
barbat-e-qudrat ki dhimi si nawa hai KHamushi
baatin-e-har-zarra-e-alim sarapa dard hai
aur KHamoshi lab-e-hasti pe aah-e-sard hai
aah jaulan-gah-e-alam-gir yani wo hisar
dosh par apne uThae saikDon sadiyon ka bar
zindagi se tha kabhi mamur ab sunsan hai
ye KHamoshi us ke hangamon ka goristan hai
apne sukkan-e-kuhan ki KHak ka dil-dada hai
koh ke sar par misal-e-pasban istada hai
abr ke rauzan se wo baala-e-baam-e-asman
nazir-e-alam hai najm-e-sabz-fam-e-asman
KHak-bazi wusat-e-duniya ka hai manzar use
dastan nakaami-e-insan ki hai azbar use
hai azal se ye musafir su-e-manzil ja raha
aasman se inqilabon ka tamasha dekhta
go sukun mumkin nahin aalam mein aKHtar ke liye
fatiha-KHwani ko ye Thahra hai dam bhar ke liye
rang-o-ab-e-zinagi se gul-ba-daman hai zamin
saikDon KHun-gashta tahzibon ka madfan hai zamin
KHwab-gah shahon ki hai ye manzil-e-hasrat-faza
dida-e-ibrat KHiraj-e-ashk-e-gul-gun kar ada
hai to goristan magar ye KHak-e-gardun-paya hai
aah ek bargashta qismat qaum ka sarmaya hai
maqbaron ki shan hairat-afrin hai is qadar
jumbish-e-mizhgan se hai chashm-e-tamasha ko hazar
kaifiyat aisi hai nakaami ki is taswir mein
jo utar sakti nahin aaina-e-tahrir mein
sote hain KHamosh aabaadi ke hangamon se dur
muztarib rakhti thi jin ko aarzu-e-na-subur
qabr ki zulmat mein hai in aaftabon ki chamak
jin ke darwazon pe rahta hai jabin-gustar falak
kya yahi hai in shahanshahon ki azmat ka maal
jin ki tadbir-e-jahanbani se Darta tha zawal
rob-e-faghfuri ho duniya mein ki shan-e-qaisari
Tal nahin sakti ghanim-e-maut ki yurish kabhi
baadshahon ki bhi kisht-e-umr ka hasil hai gor
jada-e-azmat ki goya aaKHiri manzil hai gor
shorish-e-bazm-e-tarab kya ud ki taqrir kya
dardmandan-e-jahan ka nala-e-shab-gir kya
arsa-e-paikar mein hangama-e-shamshir kya
KHun ko garmane wala nara-e-takbir kya
ab koi aawaz soton ko jaga sakti nahin
sina-e-viran mein jaan-e-rafta aa sakti nahin
ruh-e-musht-e-KHak mein zahmat-kash-e-bedad hai
kucha gard-e-nai hua jis dam nafas fariyaad hai
zindagi insan ki hai manind-e-murgh-e-KHush-nawa
shaKH par baiTha koi dam chahchahaya uD gaya
aah kya aae riyaz-e-dahr mein hum kya gae
zindagi ki shaKH se phuTe khile murjha gae
maut har shah o gada ke KHwab ki tabir hai
is sitamgar ka sitam insaf ki taswir hai
silsila hasti ka hai ek bahr-e-na-paida-kanar
aur is dariya-e-be-payan ki maujen hain mazar
ai hawas KHun ro ki hai ye zindagi be-e'tibar
ye sharare ka tabassum ye KHas-e-atish-sawar
chand jo surat-gar-e-hasti ka ek ejaz hai
pahne simabi qaba mahw-e-KHiram-e-naz hai
charKH-e-be-anjum ki dahshatnak wusat mein magar
bekasi is ki koi dekhe zara waqt-e-sahar
ek zara sa abr ka TukDa hai jo mahtab tha
aaKHiri aansu Tapak jaane mein ho jis ki fana
zindagi aqwam ki bhi hai yunhi be-e'tibar
rang-ha-e-rafta ki taswir hai un ki bahaar
is ziyan-KHane mein koi millat-e-gardun-waqar
rah nahin sakti abad tak bar-e-dosh-e-rozgar
is qadar qaumon ki barbaadi se hai KHugar jahan
dekhta be-e'tinai se hai ye manzar jahan
ek surat par nahin rahta kisi shai ko qarar
zauq-e-jiddat se hai tarkib-e-mizaj-e-rozgar
hai nagin-e-dahr ki zinat hamesha nam-e-nau
madar-e-giti rahi aabastan-e-aqwam-e-nau
hai hazaron qafilon se aashna ye rahguzar
chashm-e-koh-e-nur ne dekhe hain kitne tajwar
misr o babul miT gae baqi nishan tak bhi nahin
daftar-e-hasti mein un ki dastan tak bhi nahin
aa dabaya mehr-e-iran ko ajal ki sham ne
azmat-e-yunan-o-ruma luT li ayyam ne
aah muslim bhi zamane se yunhi ruKHsat hua
aasman se abr-e-azari uTha barsa gaya
hai rag-e-gul subh ke ashkon se moti ki laDi
koi suraj ki kiran shabnam mein hai uljhi hui
sina-e-dariya shuaon ke liye gahwara hai
kis qadar pyara lab-e-ju mehr ka nazzara hai
mahw-e-zinat hai sanobar juebar-e-aina hai
ghuncha-e-gul ke liye baad-e-bahaar-e-aina hai
nara-zan rahti hai koyal bagh ke kashane mein
chashm-e-insan se nihan patton ke uzlat-KHane mein
aur bulbul mutrib-e-rangin nawa-e-gulsitan
jis ke dam se zinda hai goya hawa-e-gulsitan
ishq ke hangamon ki uDti hui taswir hai
KHama-e-qudrat ki kaisi shoKH ye tahrir hai
bagh mein KHamosh jalse gulsitan-zadon ke hain
wadi-e-kohsar mein nare shaban-zadon ke hain
zindagi se ye purana KHak-dan mamur hai
maut mein bhi zindagani ki taDap mastur hai
pattiyan phulon ki girti hain KHizan mein is tarah
dast-e-tifl-e-KHufta se rangin khilaune jis tarah
is nashat-abaad mein go aish be-andaza hai
ek gham yani gham-e-millat hamesha taza hai
dil hamare yaad-e-ahd-e-rafta se KHali nahin
apne shahon ko ye ummat bhulne wali nahin
ashk-bari ke bahane hain ye ujDe baam o dar
girya-e-paiham se bina hai hamari chashm-e-tar
dahr ko dete hain moti dida-e-giryan ke hum
aaKHiri baadal hain ek guzre hue tufan ke hum
hain abhi sad-ha guhar is abr ki aaghosh mein
barq abhi baqi hai is ke sina-e-KHamosh mein
wadi-e-gul KHak-e-sahra ko bana sakta hai ye
KHwab se ummid-e-dahqan ko jaga sakta hai ye
ho chuka go qaum ki shan-e-jalali ka zuhur
hai magar baqi abhi shan-e-jamali ka zuhur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.