Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gosht ki saDkon par

Adil Mansuri

gosht ki saDkon par

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    phuul baasī ho ga.e haiñ

    lams shiddat se thak kar

    haath jhūTe ho ga.e haiñ

    is jagah kal nahr thī aur aaj dariyā bah rahā hai

    būḌhā māñjhī kah rahā hai

    ḳhvāhishoñ ke peḌ par laTke hue

    sāyoñ ko dīmak khā rahī hai

    vaqt naalī meñ

    sūraj chāñd taare bah rahe haiñ

    barf ke jañgal se shole uTh rahe haiñ

    ḳhvāb ke jalte hue chīte

    merī āñkhoñ meñ aa kar chhup ga.e haiñ

    ghar dīvāroñ pe

    tanhā.ī ke bichchhū reñgte haiñ

    tishnagī ke saañp

    ḳhālī paanī ke maTke meñ apnā muñh chhupā.e ro rahe haiñ

    raat ke bahke hue hāthī

    ufuq ke band darvāze pe dastak de rahe haiñ

    haath chhoḌo

    haath meñ kāñTā chubhā hai

    tiin din se phāñs andar hai

    nikaltī nahīñ

    naam kyā hai aur kahāñ rahte ho tum

    jaamā masjid ke qarīb

    kahte haiñ masjid ke mīnāre bhī the

    shahr meñ ik zalzala aayā thā jis se gir ga.e

    gosht saḌkoñ pe

    kaale ḳhuun ke sāyoñ sūraj chal rahā hai

    lazzatoñ aag meñ tan jal rahā hai

    phul basi ho gae hain

    lams ki shiddat se thak kar

    hath jhuTe ho gae hain

    is jagah kal nahr thi aur aaj dariya bah raha hai

    buDha manjhi kah raha hai

    KHwahishon ke peD par laTke hue

    sayon ko dimak kha rahi hai

    waqt ki nali mein

    suraj chand tare bah rahe hain

    barf ke jangal se shole uTh rahe hain

    KHwab ke jalte hue chite

    meri aankhon mein aa kar chhup gae hain

    ghar ki diwaron pe

    tanhai ke bichchhu rengte hain

    tishnagi ke sanp

    KHali pani ke maTke mein apna munh chhupae ro rahe hain

    raat ke bahke hue hathi

    ufuq ke band darwaze pe dastak de rahe hain

    hath chhoDo

    hath mein kanTa chubha hai

    tin din se phans andar hai

    nikalti hi nahin

    nam kya hai aur kahan rahte ho tum

    jama masjid ke qarib

    kahte hain masjid ke minare bhi the

    shahr mein ek zalzala aaya tha jis se gir gae

    gosht ki saDkon pe

    kale KHun ke sayon ka suraj chal raha hai

    lazzaton ki aag mein tan jal raha hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    gosht ki saDkon par Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now